Monday, September 16, 2024
HomeHyderabadE challan ke takneeki masail awaam galat challanat se nalaa

E challan ke takneeki masail awaam galat challanat se nalaa

Hyderabad: Police ki jaanib se baaz auqaat bagair kisi munasib saboot ke E challan  jaari karne se awaam ko mushkilaat ka saamna karna padta hai. Galat challan mansooq karne ke liye gaadi wale ko traffic police station’s aur baaz auqaat police head quarter ka chakker lagana padta hai. Traffic qawaneen ki khilaf warzi karne walon ko E challan ke zariye raseed jaari karne ke nizaam mein kharabi ki gunjaesh hai. Chunke traffic qawaneen ka yeh asri nizaam bad unwaani ko janm de raha hai aur baaz auqaat police ke saath jhadpe hoti hain.

Asri system ke tehat traffic police traffic qawaneen ki khilaf warzi karne wali gadiyon ki tasaweer khainchti hai. Tasaweer on line traffic commander aur control room ko bheji jaati hai…gaadi ki Rejistretion dastawizaat mein patein ki buniyad par woh E challan jaari kiya jaata hai. Rawaa saal 16 June ko police ne gaadi ke maalik TS 074800 ko miya pur hudood mein subha 11.33 aur shaam 4.08 baje E challan ke zariye raseed rawana ki aur kaha ke gaadi ghalat tareeqe se khadi ki gayi thi. Police ne saboot ke taur par do tasaweer bheji hai…taa hum gaadi sawaar Banjara hills mein shaam 4 baje ke baad apne daftar mein tha..galat E challan traffic commander and control room mein kotahi aur commission ki wajeh se rawana kiya gaya.

Baaz auqaat commander center ka amlaa field staff se tasaweer wusool karta hain. Jaha number plate wazeh nahi hoti isko chodne ke bajai auhdedar kisi aur number ka tasawwur karte hai aur unhe challan jaari karte hai lekin unka yeh andaza galat sabit hota hai. Photos ki naql commander and control center ke mulazimeen baaz auqaat police station’s ki hudood ke baare mein maloomat na hone ki wajeh se E challan bhej dete hain. Gair mamooli mamlaat mein mulazimat se gaflat aur mulazimeen ki jaanib se gair zimmedari bhi galti se E challan bhejne ki wajeh batayi jaarahi hain.

Traffic police ki official web site par hamein report karein ke naam se ek sahulat maujood hain jis mein kami aur commission ki shikayat darj ki jaa sakti hain. lekin maazi ka tajurba batata hai ke traffic police ki taraf se jawab na kaafi bataya jaata hai jiske baad is sahulat ka natija safar hai galat challan ko durust karne ke liye ek maah taweel intezar Karna padta hai.