Thursday, May 8, 2025
HomeHyderabadDurgam Cheruvu mein Ganda pani chodnay walon ki ab kher nahi

Durgam Cheruvu mein Ganda pani chodnay walon ki ab kher nahi

Hyderabad: Madhapur ke Durgam Cheruvu mein na qabil safai Sewerage ke pani ko chodnay walay gharon, Rehaishi, Tijarti Apartments, Shopping Malls aur deegar idaron ke khilaaf sakht karwai ka khadsha hai kyunkay halaat ka jaiza lainay ke baad is zimn mein HMWS aur CB ke Managing Director M Dana Kishwar ne yahan ke awam ko mutnabba kiya.

Jheel ke is paar Cable ka kaam mukammal honay ke sath hi, Water board Durgam Cheruvu ko 24 ghantay nigrani ke liye khangi Security ki khidmaat haasil kere ga taakay is baat ka yakeeni banaya jasakay ke jheel ke pani mein gandagi ko shaamil karne ki ijazat nah di jaye. Dana Kishwar aur deegar Alla ohdedaron ny Durgam Cheruvu mein 5 MLD Sewerage Treatment Planet ka muaina kiya. Unhoun ny mazeed kaha ke CCTV camera STP ke ird gird makanaat, Dukanon aur deegar maqamat par lagaye jayen ge jis se nigrani ko sakht kardiya jaye ga.

Ohdedar ne kaha hai ke jabkay pooray mulk mein sirf 20 se 30 feesad sewerage ke pani ki hi safai aur Cycles kiya ja raha hai, Jabkay 43 feesad ganday pani ka Cycling sirf Hyderabad mein hi hora hee hai. Shehar mein 1781 MLD Sewerage peda huwa aur Hyderabad ke mukhtalif ilaaqon mein waqay STP ke zariye taqreeban 771 MLD ganday pani ko Recycles kiya gaya hai. Dana Kishwar ne kaha ke Durgam Cheruvu mein Recycles pani ke miyaar ki har 4 ghanton mein nigrani ki jaye gi aur uski zimma daari Third Party Agencies ko di gayi hai.