Thursday, April 25, 2024
HomeSliderDuniya mein 1.3 arab Poverty line se neechay : UN

Duniya mein 1.3 arab Poverty line se neechay : UN

Nisf tadaad bachon ki hai. Bharat mein 27.1 Crore logon ko Poverty Line se oopar laya gaya.

Aqwama mutahidda ki aik naayi report mein bataya gaya hai ke duniya bhar mein Poverty Line se neechay zindagi guzarney walon 1.3 arab afraad mein nisf tadaad bachon ki hai. Yeh baat Aqwama mutahidda ke taraqiyati Programme aur Oxford Poverty and Human Development ki janib se jumaraat ke roz jari honey walay Multidimentional Poverty Index mai batai gayi. Report ke mutabiq 104 Mumalik mein 1.3 arab aisay afraad hain jin ki darjah bandi Poverty Line se neechay zindagi busr karne walon ki hesiyat se ki gayi hai. Un mein 18 baras se kam Umar ke 66.2 crore kam seen bachay shaamil hain. Report mein kaha gaya hai ke Poverty Line se neechay zindagi guzarney walay afraad ki aksariyat yane 1.1 Arab afraad dehi ilaaqon mein rehtay hain. Dehi ilaaqon mein gurbat ki sharah shehri ilaaqon ke muqaabla mein chaar gunaa ziyada hai. Aqwama mutahidda ki report ke mutabiq duniya bhar ke ghareeb afraad mein se 83% sehraye Azam ke junoob mein Africa ke ilaqa aur junoobi Asia mein rehte hain. Report mein bataya gaya hai ke baaz Mumalik mein hukoomat ke taraqiyati mansoobon ke zariya gurbat ke khatame ke silsila mein misbat nataij ko yakeeni banaya gaya hai. Maslan Bharat mein is noeyat ke mansubon ke baais 2005  se 2016  ke darmain  27.1 crore afraad gurbat ke daire se bahar aaye. Report mein Aqwama mutahidda ke taraqiyati programme ke Director Achun Stainzer ka kehna hai ke agarche gurbat ki sharah bilkhushoos bachon mein intehai buland hai, is ke bawajood gurbat ke khatame ke liye paish Raft mumkin hai. Aqwama mutahidda har aisay shakhs ko gurbat ke daira mein shumaar karti hai jis ki yomiya aamdani 1.9 dollar se ziyada na ho. Gurbat ke khatame mein Bharat ki peshraft inteheae ahem hai. Junoob Asia  Mumalik mein sirf Maldives  hi sharah ke aitebaar se Hindustan se agay hai. 2005 se kabal Bharat mein Poverty Line se neechay zindagi buser karne waloun ki sharah 54.7 feesad thi jo ab ghatt kar 27.5 feesad hogaye hai. Is terha Poverty Line se neechay zindagi busr karne walon ki tadaad junoob Asian Mumalik mein sirf Maldives  mein hi Hindustan se kam hai aur yeh farq bhi sirf 1.9 feesad ka hi hai. Yeh sharah Nepal mein 35.4 feesad, Bangladesh mein 41.1 feesad aur Pakistan mein 43.9 feesad hai.