California : Duniya mein sab se kam wazan ke sath paeda honay wali bachi ko 5 mah ke baad dawakhane se ghar jaane ki ijazat day di gayi. Sebayi Nami bachi jo ke paidaiesh ke waqt intahi kam wazan ki thi aur guzashta 5 mah se uska ilaaj jari thi aur duniya bhar ki medical nazrain is par markooz theen .
Decemeber 2018 mein hamal ke 23 haftay baad hi paeda honay wali is bachi ka wazan paidaiesh ke waqt mehez 243 gram tha aur iski lambai 9 inch thi. Ek report ke mutabiq yeh bachi qabal az waqt peda honay wali duniya ki sab se kam wazan bachi thi aur is ka wazan ek baday saib jitna hi tha. Sebayi iska asal naam nahi balkay urfiat hai jo nurses nay usay di aur iski paidaiesh Amrici riyasat California ke ek hospital mein hui aur is nay lag bhag 5 haftay NICU mein guzaray. ab iski lambai 16 inch hochuki hai jabkay wazan 2.5 Kg se kuch ziyada hogaya hai .
Aam tor par hamal ke 40th haftay mein bachon ki paidaiesh hoti hai jabkay 28 hafton se qabal paeda honay walay bachon ka zindah bachna bohat mushkil hota hai. Sebayi ki maa ko ek khatarnaak aarze ka saamna tha jo ke is ke sath sath bachi ke liye bhi jaan lewa saabit ho sakta tha. yeh khatoon ( unka naam zahir nahi kiya gaya ) batati hain woh meri zindagi ka khofnaak tareen din tha, mein bohat ziyada pareshani ka shikar thi aur mera khayaal tha ke shayad yeh hamal ka hissa hai .
Jab is namaloom khatoon ko dawakhana muntaqil kiya gaya to doctoron nay aagah kiya ke bachi ki paidaiesh fori tor par karni hogi. maa naay kaha mujhe bataya gaya ke woh bachi bach nahi sakay gi kyunkay woh mehez 23 haftay ki hai. doctoron nay ibtida mein bachi ke waalid ko mutala kiya tha ke iski beti ke paas mehez ek ghanta hai aur qabal az waqt paidaiesh ke baais honay wali pechidgion ke baais is ka bachna mushkil hai .
Bachi ki maa ke mutabiq ek ghanta 2 ghanton mein badal gaya, phir 2 ghantay ek din mein badal gaya aur phir ek hafta guzar gaya. aur ab woh hafta 5 mahino mein badal chuka hai aur ab woh NICU se ghar jarahi hai jisay duniya ki sab se chootii qabal az waqt peda hojane wali bachi ka aizaz bhi mil gaya hai. is se pehlay yeh aizaz 2015 mein Germany mein paeda honay wali bachi ke paas tha jis ka wazan paidaiesh ke waqt 253 gram se kuch ziyada tha. dawakhane ki nurses nay kaha ke yeh bachi ek karishma hai aur hamein is baat par yaqeen hai . –YTN STAFF