Monday, April 29, 2024
HomeSliderDuniya ke sab se badey muslim mulk Indonesia ki noujawan nasal ki...

Duniya ke sab se badey muslim mulk Indonesia ki noujawan nasal ki be-rah ravi

Shadi se pehlay jinsi taluqaat ko jurm qarar dene walay qanoon ke khilaaf pur-tashaddud muzahiray

Jakarta: Duniya ke sab se badey muslim mulk ka aizaz rakhnay walay Indonesia ki noujawan nasal kis qader be-raah ravi ka shikaar ho chuki hai iska andaza karna ab mushkil nahi kyunkay hukoomat ki janib se azdawaji zindagi se qabal jinsi taluqaat par sazae-qaid ke qanoon ke elaan ke baad talba ney is qanoon par apni narazgi ka sirf izhaar hi nahi kiya hai balkay is qanoon ke nifaz ke khilaaf sadkon par pur-tashaddud muzahiron ke alawa police ke sath pur tasadum sorat-e-haal bhi ikhtiyar karliya hai.

Indonesia mein nojawan nasal, khaas kar talba jis mujawaza qanoon ke khilaaf samaji baghaawat par utar aaye hain, iske tehat ab baghair shadi ke aapas mein jinsi rawabit qaim karne walay shehrion ko saza-e-qaid sunai jasakti hai.

jakarta mein hue muzahiray to itnay pur-tashaddud ho gaye ke galiyo mein aur sadkon par muzahireen aur police ke mabain tassadum ke baais soorat-e-haal wazeh tor par bad-amni ka shikaar hogayi aur majmoi tor par 300 se zayed afraad zakhmi hogaye.

Abadi ke lehaaz se duniya ke sab se badey islami mulk Indonesia mein is naye qanoon ke mutabiq ab ghair azdawaji jinsi raabtey saabit hojaane par aisay kisi bhi jismani talluq mein mulawis afraad ko 6 mah tak qaid ki saza sunai ja sakti hai. yeh saza ab tak murawaja qanoon ke muqablay mein bohat sakht hai.

Isi qanoon ke tehat ab munasib tibbi wujuhaat ke baghair isqaat hamal karwane par bhi 4 saal tak sazae qaid sunai jasakaygi. mazeed yeh ke mulki sadar ki tauheen karna bhi aindah qanoonan ek aisa jurm hoga jis ke murtakib afraad ko jail bheja jasakayga.

Jakarta mein is mujawaza qanoon ke khilaaf parliament ke samnay hue muzahiray mein 3000 se zayed talba ney hissa liya. jab muzahireen bad-amni par utar aaye, to police ney inhen muntashir karne ke liye water canon aur ansoo gas ka istemaal kiya.

Jakarta police ke sarbarah ke mutabiq aman-o-aman ko yakheeni bananay ke liye ki gayi is karwai ke douran 300 se zayed afraad zakhmi bhi hue hain. un mein se kam az kam 254 talba hain jinhein ilaaj ke liye mukhtalif dawakhanoun mein pohancha diya gaya. police chief ke mutabiq bad-amni ke un waqeat ke douran kam az kam 39 police ohdedar bhi zakhmi ho gaye.

Khabron ke mutabiq Indonesia mein isi naye qanoon ke khilaaf awaami muzahiray dar-ul-hukoomat Jakarta ke alawa kayi deegar shehroun aur mulki jazair par bhi dekhnay mein aaye. hukoomat ke ibtidayi iraadon ke mutabiq parliament ko is naye qanoon ke masoude ki manzoori 24 September ko dena thi, lekin phir sadar Joko Widodo ki darkhwast par yeh parlimani raye shumari mo-akhar kardi gayi thi.

Indonesia mein jo aabadi ke lehaaz se duniya ke badey mumalik mein shumaar hota hai lekin yahan talba ke muzahiron ki bhi apni hi ek tareekh hai. 1998 mein aisay hi talba muzahiron ke baad 1967 se bar-sir iqtedar sadar Mohammad soharto ko sadaarti ohday se mustafi honay par majboor kardiya gaya tha.

Majmoa jazair par mushtamil riyasat Indonesia ki jumla abadi 260 million se zayed hai aur Indonesian awam mein se 90 feesad musalman hain. –YTN STAFF