Saturday, April 20, 2024
HomeOthersOpinionDuniya ke har muashray mein hum-jins parast moujood hone ka naya inkishaaf

Duniya ke har muashray mein hum-jins parast moujood hone ka naya inkishaaf

London : Duniya bhar mein hum-jins parasti ka rujhan badhta hi ja raha hai aur ab to naye mutalea mein inkishaaf kiya gaya hai ke duniya ke har muashray mein hum jins parast moujood hain.

Jinsi rujhanaat ke hawalay se ab tak honay wali sab se badi mutaliati tahaqeeq karne wali team nay daawa kiya hai ke duniya ke har insani muashray mein 10 feesad tak afraad hum jins parast rujhanaat ke haamil hain.

America, Bartania aur Sweden jaisay mumalik mein jinsi rujhanaat par honay wali tahaqeeq aur hum jins parast afraad ke data ke mutaliati jaizay se yeh baat bhi samnay aayi ke ensaan kisi ek makhsoos paedaishi ki wajah se hum jins parast nahi banta. scienci jareeday science mig mein shaya report ke mutabiq mahireen ki ek team nay America , Bartania aur Sweden sameit deegar mumalik ke hum jins parast afraad ke data ka jaiza liya. mahireen nay yeh data Amrici company aur Bartania se haasil kiya.

Mahireen nay 4 laakh 9 hazaar ke qareeb Bartanwi jab ke 68 hazaar se zayed Amrici afraad ke jinsi rujhanaat aur un ke DNA data ka jaiza liya aur sath hi mahireen nay sweden ke logon ke rujhanaat ka bhi jaiza liya. mahireen ne khusoosi tor par data aur DNA nataij se yeh jan-nay ki koshish ki ke kiya Insaan mein koi pedaishi chain aisa bhi mojood hota hai jis ki wajah se Insaan hum jins parast bantaa hai?

Mahireen ke mutabiq data ke jaizay se yeh baat samnay aayi ke ensaan mein pedaishi tor par paye janay walay mutadid jins iske jinsi rujhanaat par asar andaaz hotay hain aur unhi jins ki wajah woh apne jinsi rujhanaat ka taayun karta hai. mutalay se baat wazeh hui ke koi bhi insaan kisi ek hi jins ki wajah se hum jins parasti ki janib Raghib nahi hota. mahireen ne bataya ke data se maloom hota hai ke kisi bhi Insaan ke hum jins parast ban’nay ka koi ek sabab nahi balkay woh mukhtalif, 4 se 5 asbaab ki wajah se is tarhan ke ravayye ki janib Raghib hota hai.

Mahireen ne khayaal zahir kiya ke kuch afraad tarz zindagi ki wajah se bhi hum jins parasti ki janib Raghib hotay hain. tahaqeeq karne walay mahireen ne kaha hai ke judwan bachoun ki paidaiesh aur unki ek sath parwarish, unka taweel waqt tak ek sath rehna, khandani aur gharelo rehan sehan aur doston se milna jalna bhi hum jins parasti ke rujhanaat ki janib Raghib karne ke sabab ho saktay hain.

Mahireen ke mutabiq data se wazeh hota hai ke Insaan mukhtalif jins aur mukhtalif asbaab ki wajah se hum jins parasti ki janib Raghib hota hai. mahireen ne data aur logon ke rujhanaat ko dekhte hue bataya ke taqreeban duniya ke har muashray mein hum jins parast rujhanaat ke haamil afraad paye jatay hain. duniya ke har muashray ki majmoi abadi ke 2 taa 10 feesad tak afraad hum jins parasti ki janib Raghib hotay hain. –YTN STAFF