Saturday, November 2, 2024
HomeSliderDuniya ka sab se sasta 5G Mobile muta-arif

Duniya ka sab se sasta 5G Mobile muta-arif

Beijing: China company Realme ke naye 5G Mobile ko muta-arif karwa diya gaya hai jisay duniya ka sasta tareen 5G phone qarar diya gaya hai. Ye is company ki V series ka pehla phone hai jis mein Mediatek 7nm Dimensity 720 processor jabkay Cortex-A76 aur Cortex-A55 diye gaye hain.

Is ke ilawa 6 se 8 GB RAM jabkay 128 GB storage phone ka hissa hai jis mein Micro SD Slot se mazeed izafah kiya ja sakta hai. Phone ke back par 4 cameron ka set up mojood hai.

Main Camera 48 mega pixel ka hai jis ke sath 8 mega pixel ultra ultrawide-angle Camera 119 field of View, Teesra macro sensor  aur choutha depth sensor Camera hai jo ke pas manzar ko dhundlaa karkay Portrait Mode tasaveer mein madad faraham karta hai.

Phone mein 6.5 inch LCD Display 90Hz refresh jabkay 180Hz  touch sampling rate ke sath diya gaya hai. Phone ke Front par 16 mega pixel Camera punch hole design mein diya gaya hai jabkay Power Button ko hi Fingerprint Scanner ke tor par bhi istemaal kiya ja sakta hai. On mein 5000 MAH battery 30W fast charging ke sath di gayi hai jis ke baray mein company ka daawa hai ke sifar se sad feesad battery 65 minute mein charge hosakti hai.

Charging ke douran phone ki screen ko mukammal Brightness ke sath istemaal kiya ja sakta hai kyunkay is mein di gayi Technology bohat kam hararat kharij honay mein madad deti hai. Company ke mutabiq phone mein sound ke liye Dolby Atmos system diya gaya hai. Ye phone neelay aur haare rangon mein dastyab hoga aur is ke 6 GB RAM aur 128 GB Storage walay model ki qeemat 1499 cheeni yoaan jabkay 8 GB RAM aur 128 GB storage walay phone ki qeemat 1899 yoaan rakhi gayi hai. Ye phone sab se pehlay China mein farokht ke liye pesh kiya ja raha hai.