Wednesday, May 15, 2024
HomeHyderabadDukanaat ko 2 bajey hi band kiya jane laga

Dukanaat ko 2 bajey hi band kiya jane laga

Hyderabad: Hyderabad City Police kaafi mutharrak hogayi hai, Jis ne Lockdown ke qawaid ki khilaaf warzi karne walay ke khilaaf kaafi sakhti deekhaee hai. Phaloun aur sabzi faroshoun ka taqub kiya jo sadkoun par agay badh rahay they aur dukanoun ko 2 bajay hi kayi ilaqoun mein apne Shutter neechay khenchnay par majaboor kiya.

Ye Crack Down, Jo Telangana ke Director General Police M Mahender Reddy ne Lockdown qanoon ki khilaaf warzi karne waloun ke khilaaf sakht karwai ka elaan karne ke ek din baad huwa hai. Dekha gaya ke Traffic Police ki teams ne Law and Order Police ke sath mil kar sadkoun par bi maqsad ghoomnay walay afraad ki gadiyaan zabt kee aur muaina sakht kiya aur bohat se Check Posts qaim kiye gaye.

Mehakma ki janib se jari Traffic Police ki Teams ne gadiyoun aur Passes ki jaanch padtaal ka kaam jari rakha. Teams ko SP Road, Begumpet, M.J Market, Ravinder Bharti, Public Garden aur deegar maqamat par gadiyoun ke dastawizaat ki jaanch padtaal karte dekha gaya. Police ne sadak par ghir zarori naqal o harkat ko roknay ke liye mutadid Junctions aur mukammal raastoun par nai Check Posts bhi qayem kardiye.

Dopehar 2 bajay se Police ki Teams ne sadkoun par phaloun aur sabzioun faroshoun ka peecha kiya aur bohat se dukandaroun ko apne Shutter neechay utaarnay par majboor kar deya. Amannagar, Talab Kutta, Begum Bazaar, Nampally aur Moghalpura sameit shehar ke kuch ilaqoun mein Police ne sadak par kayi logoun ko bhaganay ke liye lathi ka istemaal karte huve dekha.

Hospitals aur deegar hungami khidmaat mein jaaney walay afraad ko mustasna qarar diya gaya tha aur mutalaqh dastawizaat zahir karne ke baad inhen agay bhadne ki ijazat di gayi thi. –YTN STAFF