Thursday, May 16, 2024
HomeLatest NewsDubbaka mein BJP ki kamyabi ittefaq: KCR

Dubbaka mein BJP ki kamyabi ittefaq: KCR

Hyderabad: IT wazeer aur TRS ke working sadar KTR agarchay ne tasleem kiya hai ke Dubbaka zimni intikhabaat ki shikast TRS ke liye ek khwab ghaflat se bedaar karne wala nateeja hai lekin TRS supremo aur chief minister KCR  aisa nahi sochte hain. zimni intikhabaat mein BJP ki kamyabi ko unhon ne ek ittafaq qarar diya hai aur apne wazraa aur party qaideen se kaha ke Dubbaka ke nataij ko ziyada khud par sawaar karne ki zaroorat nahi hai.

Kuch halqon mein izhaar tashweesh karte hue KCR  ne wazraa party arkaan,arkaan assembly, MLC aur deegar qaideen ke sath sath cadre ko bhi kaha BJP ke baaray mein nah sochen aur nah hi is ki fikar karen kyunkay is ke Telangana mein bherne ki koi gunjaish nahi hai. KCR  ne Dubbaka nateejay mein siyasi sorat-e-haal ko badhawa denay ke liye wazraa aur party ke senior qaideen pragati bhavan se ijlaas munaqqid kiya. iske baad unhon ne aaindah GHMC intikhabaat ke silsilay mein party ki hikmat-e-amli par taweel behas ki.

Khammam aur Warangal municiple coopration ke intikhabaat ke sath sath MLC ki do nishistoun ke liye intikhabaat par tabadlah Khayal- kiya gaya hai. TRS zaraye ne kaha hai ke jab ijlaas mein Dubbaka mein BJP ki fatah ka maamla khada hua to KCR  ne apni party ke jawano ko yeh kehte hue hosla diya ke yeh Raghunandan rao ki fatah hai, na ke BJP ki. KCR  ki istadlaal ke mutabiq, Dubbaka zimni intikhabaat se qabal Raghunandan rao musalsal 3 intikhabaat haar gaye thay jiski wajah se raye dahindgaan ne usay muntakhib karkay unse apni hamdardi ka izhaar kiya hai.

Dubbaka nataij ko fard ki fatah ke tor par qubool karne ka mutalba karte hue KCR ne kaha ke TRS aaindah GHMC intikhabaat mein BJP ko kuchal kar Dubbaka shikast ka badla legi aur Telangana mein BJP ki jagah dikhaayegi. Zaraye ke mutabiq, KCR diwali ke fori baad GHMC intikhabaat ka aalamia jari karne ke haq mein hai taakay intikhabaat 4 decemeber ko hosaken. zaraye ne kaha hai isse oppostion ko sahih umeedwaar talaash karne, intikhabi muhim ka waqt ya daira car talaash karne ki koi gunjaish nahi hogi.