Thursday, May 16, 2024
HomeLatest NewsDubbaka ki shikast se KCR ke teesray mahaaz ka khawab chikna-choor

Dubbaka ki shikast se KCR ke teesray mahaaz ka khawab chikna-choor

Hyderabad: Dubbaka zimni intikhab ke ghair yakheeni nataij mein se ek yeh hai ke TRS ke supremo  aur chief minister KCR ka 2019 ke lok sabha intikhabaat se qabal tasawwur kiya gaya ghair BJP ghair congress federal front ke baray mein apne khayaal ko aagay badhaane ka khawab mutasir hona hai.

Mangal ki subah tak siyasi halqon mein yeh tawaqqa ki jarahi thi ke KCR Bihar mein RJD ki zair-e-qiyadat grand alliance lehar par sawaar hokar qaumi siyasat mein faisla kin kirdaar ada karenge taham Telangana samait mukhtalif reyaston ke intikhabi nataij mein BJP ki lehar ne KCR ki umedon par pani pher diya.

Party ke androoni zaraye ke mutabiq Bihar assembly intikhabaat ke baad KCR ne BJP ke khilaaf ilaqai jamaaton ko ek sath lakar apne federal front ( teesra mahaaz ) ko zindah karne ki mansoobah bandi ki thi, kyunkay wo yeh tawaqqa kar rahay thay ke BJP wali NDA ko shikast ka saamna karna padega aur Bihar mein ilaqai party RJD Iqtidaar mein aayegi.

TRS halqon mein yeh shadeed behas chal rahi thi ke KCR ne lag bhag apne betay aur party ke working sadar KTR ko Telangana ki lagaam denay ka faisla karliya hai taakay Bihar assembly intikhabaat ke baad qaumi siyasat par ziyada tawajah deinay ke muaqqaf mein aasakay.

Taham KCR ke un tamam mansooboun ko Bihar aur deegar reyaston ke nataij ne shadeed nuqsaan pohanchaya hai. zaraye ke mutaqbiq KCR ko ab Telangana mein TRS ko mazboot bananay par tawajah deeni hogi taakay Telangana mein BJP ko mazeed agay bherne se roka jaye. agar 2023 ke assembly intikhabaat mein TRS ko Iqtidaar barqarar rakhna hai to usay ab apne hi ghar mein party ko mazboot bananay ki zaroorat hai. Iska matlab hai ke KCR ke paas qaumi siyasat mein ubharnay ke liye waqt baqi nahi rahayga. TRS ko ab yeh yakheeni banana hoga ke Dubbaka mein Bhagwa party ki herat angaiz kamyabi Telangana mein gulaabii party ke mutabadil ki wazeh aamad ki tarhan koi aawaz nahi uthayegi balkay yeh mehez ek ittafaq tha.

KCR ka pehla aur sab se ahem kaam January 2021 mein honay walay GHMC intikhabaat ke liye party ko langar andaaz karna hai. agarchay KCR ne decemeber mein GHMC intikhabaat mein aagay bherne ki baat ki thi taham party zaraye ne Dubbaka shikast ke nateejay mein is imkaan ko mustard kardiya. Dubbaka mein apni fatah se masroor BJP, TRS ke liye ek mushkil challenge khadi kar sakti hai. zaraye se pata chalta hai ke agar KCR ke khayaal mein TRS ko ziyada se ziyada faida uthane ke liye waqt munasib nahi hai to KCR kuch mahino tak GHMC intikhabaat ko multawi karne se bhi daregh nahi kar saktay hain.

KCR ke paas March 2021 mein muqarrar Warangal aur khammam municipal corporation ke liye intikhabaat ke liye party tayyar karne ka bhi kaam hai. aaindah intikhabaat mein TRS ke liye fatah ko yakheeni banana baqi hai. KCR ke liye yeh baat ahem hai ke Telangana mein TRS ka koi mutabadil nahi hai is ko khatam karna hai.

KCR ke liye naye saal 2021 ke intikhabaat hi TRS ke siyasi tasallut ko zahir karne ka wahid zareya hain kyunkay yeh Telangana mein 2023 decemeber ko honay walay assembly intikhabaat se qabal aakhri intikhabaat honge.