Friday, May 3, 2024
HomeSliderDubbaka ke baad ab Nagarjuna sagar

Dubbaka ke baad ab Nagarjuna sagar

Hyderabad: Pichle mah dramayi pesh-raft mein Telangana mein BJP ne Dubbaka assembly zimni intikhab mein kamyabi haasil ki hai jaisa ke ginti ke 23 round ke baad BJP ke Raghunandan rao ne apni TRS umeed waar suli petta sajata ko 1,079 voton ke farq se shikast di. BJP ne 62, 772 vote haasil kiye, jabkay hare hue TRS umeed waar ne 61,302 vote haasil kiye. is intikhab ki teesri jamaat congress ne 21,819 vote haasil kiye. Zimni intikhab mein BJP ke voton ka hissa 38.21 feesad tha jabkay TRS ke 38.08 feesad tha.

Dubbaka zimni intikhab ki zaroorat TRS ke rukan assembly Ramchandar reddy ki mout se hui thi aur party ne un ki ahliya sujata ko umeed waar banaya tha ke woh unki mout par hamdardi ke voton se faida uthayenge. Dubbaka ke zimni intikhabaat ke baad reyasti election commission ne greater hyderabad municipal intikhabaat ka aalamia jari kya. 12 roza muhim mein high voltage drama dekha gaya. BJP jo Dubbaka zimni intikhab mein apni fatah ke baad zoroan par hai, hyderabad mein intikhabi muhim chalanay ke liye party ke sab se qad-aawar leadron ko nawabon ke shehar mein chhorhdiya tha.

GHMC ke baad ab Nalgonda, Khammam, Warangal aur Hyderabad ranga reddy mehboobnagar halqon ke liye MLC intikhabaat ki baari hai. taham Nagarjunasagar halqa se hukmaran jamaat ke MLA ki achanak mout se riyasat mein mustaqbil qareeb mein ek aur zimni intikhabaat ka imkaan paeda hogaya hai. Huzoor nagar se congress ke MLA an uttam kumar reddy ke istifa ke sath hi Telangana mein 2018 ke intikhabaat ke baad zimni intikhabaat dekhnay mein aaye. is intikhabaat mein TRS umeed waar saidi reddy apne hareef padmavati reddy ko shikast day kar faateh qarar paye. taham Dubbaka suli petta ramalinga reddy ke TRS MLA ke achanak intqaal ke sath hi ek aur zimni intikhab ki zaroorat hui jahan TRS ko shikast bardasht karni padi halaanke is intikhabaat mein high voltage drama dekhnay mein aaya. kayi nasheeb wo frazz ke baad BJP umeed waar ne 1,079 vote ke farq se kamyabi haasil ki.

Nagarjuna sagar assembly halqa ke muamlay mein Narsimha ne CLP ke sabiq rehnuma aur intehai siyasi senior rehnuma K. jana reddy ko shikast day kar intikhabaat mein kamyabi haasil ki. taham, riyasat ek baar phir Narsimha ke achanak intqaal ke sath hi ek aur zimni intikhabaat ke imkanaat roshan hogaye hain. siyasi jamaten jald hi hukmran TRS se nagarjunasagar assembly halqa ko ladnay ke liye apni koshishen shuru kar deingi. 2018 ke intikhabaat se pehlay riyasat mein BJP ki mojoodgi nahi thi. taham 2023 ke assembly intikhabaat mein Iqtidaar mein anay ke maqsad se bhagva party ne riyasat Telangana par tawajah markooz karna shuru kardiya hai aur Dubbaka nataij ne party ko kaafi had tak farogh diya hai aur ab BJP nagarjuna sagar ke halqay ko jeetnay ke liye poori koshishen karegi aur riyasat jald hi ek aur high voltage zimni intikhab dekhnay mein aayega.