Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsDubai mein sayaho ko aaj se anay ki ijazat

Dubai mein sayaho ko aaj se anay ki ijazat

Dubai: Dubai mehakma sayahat ney kaha hai ke 7 July se riyasat mein sayaho ko khush aamdeed kaha jaye ga. Sayaho par omar ke hawalay se koi pabandi nahi lagai gayi hai. Website ke mutabiq Dubai mehakma sayahat ney Dubai safar ke hawalay se 4 zawabit ka elaan kiya hai. Sayah ko safar se qabal ye maloom karna hoga ke aaya usay Dubai ka Visa lena zaroori hai ya nahi. Dubai aamad waraft ki booking karwane hogi.

Coronavirus mein mubtala honay ki soorat mein is ke akhrajaat ada karna hon ge. Safar se 96 ghantay qabal PCR test karwana hoga. Dubai mehakma sayahat ne ye bhi kaha hai ke Dubai pounchanay par PCR ki sahoolat muhayya hogi albata Dubai anay par ye test karwnay ki soorat mein sayah ko is ka nateejah anay tak khud ko Quarantine karna hoga.

Mehakma sayahat ke mutabiq agar PCR ka nateeja manfi aaya to aisi soorat mein sayah hotel se nikal kar ghoom phir sakta hai lekin test misbet aaya to usay aisi soorat mein Dubai mehakma sahet ke zawabit ki pabandi karte hue khud ko ghar quarantine mai rakna huga.

Dubai jaaane waloun ko safar se qabal medical form pur karna hoga aur Quarantine ki pabandi ka iqraar nama bhi pesh karna hoga. Emarat Air aur Fly Dubai ab tak 76 shehroun ke liye parwaazoun ka elaan karchuki hain. Emarat Air 52 aur Fly Dubai 24 shehroun ko mamool ki parwaazoun mein shaamil kiye huve hain. Bahrain, Cairo, Tunisia, Beirut, Khartoum, Amman aur 7 Arab shehar bhi Emarat aur Fly Dubai ki parwaazoun ki fehrist mein shaamil hain.