Dubai: Dubai mein farogh afraadi qowat o taleem ney khangi a School September se kholnay ka faisla kiya hai. Faisla aindah taleemi saal 2021- 2020 ki tayarioun par behas ke liye munaqidah online ijlaas mein kiya gaya. Tafseelaat ke mutabiq Principals council ke sarbarah Abdullah Al Karam ney ijlaas mein kaha ke hum sab mil kar talba ke mafaad mein kaam karte rahen ge. Jald hi sab mehsoos karen ge ke hamaray school naye taleemi saal mein pehlay se mukhtalif hon ge.
Unhoun ney mazeed kaha ke talba, Asatezah aur daftari karkunaan ko sab ki sehat o salamti ke liye muqarrar zawabit ka poori terhan se khayaal rakhna hoga. Is mauqa par Principals ney kaha ke waba ke douran har school nay apne andaaz se mukhtalif tajarbay kiye hain un ka tabadlah sab ke mafaad mein hoga. Yaad rahay ke Dubai mein 209 khangi school kaam kar rahay hain aur ye 16 mukhtalif taleemi course padha rahay hain. Khangi Schools mai 3 lakh ke lag bhag talba taleem haasil kar rahay hain.
Darin Isna UAE ki riyasat Ras al Khaimah ney cinema ghar, Shadi hall, Tafrehi marakaz, Computer games aur sports centers bahaal karne ka elaan kiya gaya hai. Bayan mein kaha gaya ke Novel coronavirus ko phelnay se roknay ke liye hifazati tadabeer ki pabandi ke sath ye saaray idaray khole gaye hain.
Sarkari hidayat naame mein ye bhi kaha gaya ke 24 June se sports games centers hifazati tadabeer ki pabandi ke sath kholnay ki ijazat di gayi hai. Cinema ghar aur shadi halls sameit tamam tafrihati idaray 50% gunjaish ke hi dairay mein shaiqeen aur sarfeen ko anay ki ijazat den. Samaji faaslay ka dheyaan rakhen khusoosan ticket counter par hujhoom nah ho. Sarfeen ko online ticket lainay ki targheeb di jaye. Ras al Khaimah ki hukoomat ne ye pabandi bhi lagai hai ke waiting room band kardiye jayen aur cinema gharoun, Shadi gharoun aur tafrihati marakaz ke andar kisi aur sargarmi ki ijazat na deye jaye.
Bayan mein mazeed kaha gaya ke tamam workers hifazati mask aur dastanay har waqt pehnay rahen. Sanitizing ki pabandi ki jaye. Ticket counter ko Sanitize kiya jaye. Har ghantay par tickets ki khudkar machines ko bhi Sanitize kiya jaye.