Dubai: Mutahidda Arab Emarat ki kabeena ne Iqama Yafta afraad ko saal rawan 2020 ke aakhir tak jurmanoun se maffi di hai. Ye elaan Emarat naib sadar aur Haakim Dubai Sheikh Mohammad Bin Rashid Al Maktoum ne kiya hai. Tafseelaat ke mutabiq Sheikh Mohammad Bin Rashid ne Twitter par kaha ke kabeena ka dosra Online ijlaas huwa. Mutadid sahulatoun se mutaliq ahem faislay kiye gaye. Iqama Holders ko saal rawan ke aakhir tak jurmanoun se istashna dainay ki hidaayat jari ki gayi hai. Kabeena ke ijlaas mein reyasti Strategical zakheera badhaane ka faisla kiya gaya jabkay Factories ko Emarat mein shoba sahet ki zaroriat faraham karne ka hukum diya gaya hai.
Emarat ke naib sadar ke mutabiq kabeena ijlaas ke douran nai ahteyati tadabeer aur sarkari kaam jari rakhnay ke tareeqakar par ghor-o-khoz kiya gaya. Zehni sahet se mutaliq wifaqi qanoon ka musevida manzoor kiya gaya hai. Sheikh Mohammad Bin Rashid ne kaha ke Mutahidda Arab Emarat ke tamam idaray ek Team ke tor par kaam kar rahay hain. Sab ek dosray se ek khandan ke afraad ke tor par taawun kar rahay hain. Darin asna Dubai Police ne elaan kiya hai ke mukammal Curfew ki khilaaf warzi par jurmane mansookh kardiye gaye Curfew ka elaan 4 April ko shaam 8 bajey se kiya gaya tha. Curfew Pass ke ijra tak jitni khilaaf varziyan Record ki gayen sab ko mansookh kardiya gaya. Dubai Police ne muqami shehrioun aur ghair mulkioun ko hidaayat di hai ke khilaaf wazioun se bachney ke liye Online Curfew Pass jari kiye jayen. –YTN STAFF