Dubai: Dubai mein saahil samandar par waqay Hotels ko sirf mehmanoun ke liye Private Beaches ( khangi saahil ) kholnay ki ijazat di gayi hai. News Agency ka hawala dete huve likha hai ke ye ijazat aisay waqt mein di gayi hai jab Dubai coronavirus ke baais lagai gayi pabandioun ko naram karne par ghhor kar raha hai.
Dubai mein Supreme Committee of Crisis Management ne logoun ki naqal o harkat par pabandiyan hataane ke liye naye iqdamaat kiye hain jin mein awaami Parks ko kholna aur Hotels ki niji Beaches ko kholna bhi shaamil hai. Tafrehi sargarmia jaisay Cycling, Water Sports aur Skydiving ki bhi ijazat day di gayi aur is ke alawa Dubai Fire Operation, Water Taxi, aur Car Sharing Service ki bhi wapsi ho chuki hai.
Taham Committee ne kaha hai ke un elanaat ke bawajood sakht hifazati iqdamaat ko bhi nafiz kiya jayega jis mein samaji faasla qaim rakhna aur 5 se ziyada afraad ka jama nah hona shaamil hai. Dubai Tourism Authority ne is qabal Hotels ke liye ek hidayat nama jari kiya tha jis dukanoun aur Restaurants mein pabandioun aur safai ka khayaal rakhna shaamil hai. Taham Swimming Pools, Spa, aur Private Events par abi bi pabandi hai aur Hotels ku hidayat de gayi hai ke dobara kholne se phele Sanitization ki jaye. –YTN STAFF