Dubai: Jab kabhi hamein kahin jana hota hai aur hamari apni koi shakhsi sawari nahi hoti hai to hum kiraya ki sawari ka intizam karte hain aur ab hindustan mein Ola Auto aur taxi ne awam ki pehli pasand ka maqam haasil karliya hai lekin un kiraya ki swariyoun ko traffic jaam ke masail ka saamna bhi karna padta hai aur jab signal ke paas agar koi haren maarta hai to barham awam kehte hain ke’ ‘ kiya huwa mein ud kar jata’ ‘Lekin ab Dubai mein awam huwa mein uth kar hi jayen ge. Jee haan! aap ne bilkul durust padha hai Dubai mein ab karaye ki taxi huwa mein udd kar hi sawari ko manzil maqsood tak pohnchaye gi kyun kay yahan jald hi awaami hamal-o-naqal ke liye fazai khidmaat shuru ki jany wali hain.
Dubai mein aindah 3 baras ke douran fazai public transport shuru kar di jaye gi. Fazai taxi ka kiraya zameeni transport jitna kam to nahi ho ga lekin bada tabqa is se mustafiz ho sakay ga. Dubai transport Authority ke director general Mattar Mohamed Al Tayer ne munaqidah seminar se khitaab karte hue kaha ke hum taizi se fazai taxi khidmaat ki janib badh hai hain tawaqqa hai ke aaghaz 3 se 5 baras ke andar kar diya jayega.
Tafseelaat ke mutabiq Seminar se khitaab karte hue unhoun ne mazeed kaha fazai taxi ke liye bunyadi tor par 3 sharait rakhi gayi hain jin mein sab se ahem shart mustahkam mansoobah bandi aur Infrastracture hai taakay is qisam ke zaraye muwasilat se behtar tor par mustafiz hova jasakay. Fazai taxi ke liye intehai bulandi ki had 1500 feet rakhi gayi hai. Ibtidayi tor par fazai taxi is se ziyada buland parwaaz nahi kar sakay gi taham baad mein is waqt ki technology ke mutabiq is mein kami-o-beshi ki ja sakti hai.
Director general ne mazeed kaha ke fazai taxi khidmaat ke hawalay se civil aviation ke sath guzashta 1 baras se mamlaat jari hain. Is zimn mein do Tarfah fanni temein milkar kaam kar rahi hain jin ke pesh-e-nazar sarfeen ki salamti aur hifazat ko muqaddam rakha ja raha hai. unhoun ne mazeed kaha fezai taxi ke hawalay se home work taqreeban mukammal ho chuka hai jald hi is mansoobay ke dosray hissa par kaam shuru kar diya jayega jo ke field se mutaliq hoga.
Fazai taxi ke kirayoun ke hawalay se sawal par Director general ne kaha ke ye durust hai ke ground transport ke muqablay mein fazai taxi ke karaye ziyada hunge taham ground tansport service istemaal karne waloun ki kaafi tadaad is se mustafiz ho sakay gi. Public transport authority ki koshish hai ke fazai taxi service ke kirayoun munasib rakha jaye taakay ziyada se ziyada tadaad mein loog is service se mustafiz hon is ke liye mukhtalif mansoboun par ghhor kiya ja raha hai. Fazai taxi ke hawalay se kaha gaya hai ke taxi ka majmoi wazan swariyon sameit 350 Kelo gram hoga, 50 kilometer fi ghanta raftaar muqarrar ki gayi hai fiza mein 30 minute tak parwaaz kere gi. –YTN STAFF