Dubai: Dubai mein mosam-e-garma ke douran darjah hararat aksar naqabil bardasht hadd tak badh jata hai, Jis ke baais baher niklana bhi mushkil hota hai. Taham aisay mausam ke douran shehar ki aabb-o-hawa mein tawazun peda karne ek aisi gali banai jaye gi jahan har waqt barish hogi jab darjah hararat 27 degree se tajawaz kere ga.
Tafseelaat ke mutabiq ye gali The Heart Of Europe mein qayem ki jaye gi jo ke Dubai mein sayahat ko farogh dainay ke liye shuru kiye jaaney walay mansobay ka hissa hai. The Heart Of Europe ka project Dubai ke saahil se chand kilometer ke faaslay par The World Ireland nam ki jazera numa jaga mai huga.
Ye gali 1 Kilometer lambi hogi aur is mein Europe tarz par Restaurant aur deegar dukanain hon gi, Jahan chaltay huve logoun par halki halki barish hoti rahay gi. Is project par kaam karne walay Kleindienst Group ne ek bayan mein kaha hai ke Raining Street barsoun ki tahaqeeq aur tajarbay ke baad banai ja rahi hai jo ke tawaqqa hai ke is saal tak mukammal ho jaye gi. Taham is terhan ka project apni noiyat ka pehla mansoobah nahi hai.
Ye Austrian architect Camillo Sitte ke kaam se mutasir ho kar shuru kiya ja raha hai. Wo aisay shehroun ka tasawwur amal mein laa chuke hain jahan Technology ke zariye aabb-o-hawa par qaboo paaya ja sakta hai. Kleindienst Group ke mutabiq jaisay hi daraja hararat 27 degree se tajawaz kere ga, Gali mein mojood imaartoun mein se chupay huve Pipes ke zariye barish ki soorat mein thanda pani barasny lagey ga.