Dubai: Dubai ki baldia ne 4 sahiloun ko dobarah kholne ka elaan kiya hai. Jari bayan mein bataya gaya ke mazkoorah sahiloun mein JBR, Al Mamzar, Jumeirah aur Umm Suqeim shaamil hain. Baldia ne shehrioun aur ghair mulki afraad par zor diya hai ke wo un maqamat par tamam mutaliqa hidayat par sakhti se karband rahen taa ke samaji aman o salamti ko yakeeni baneya ja sakay.
Isi terhan baldia ne baday Parks aur bazaar Dubai ( Dubai Frame ) ko bhi awam ke liye dobarah kholne ka elaan kiya. Is se qabal Dubai mein fanoon o saqafat Authority ne apne zair e intizam ajaaeb gharoun ko batadreej kholne ka elaan kiya. Is silsilay mein Dubai museums yakam June se logoun ki aamad o raft ki ijazat hogi. Dakhelay ke auqaat subah 10 bajey se shaam 5 bajey tak honge. Is ke ilawa Al Maskokat museum ko itwaar se jumaraat tak haftay ke 5 roz khoola jayega. Is mein dakhlay ke auqaat subah 8 bajey se dopehar 2 bajey tak honge.
Ye tamam pesh-o-raft Dubai mein coronavirus ke sabab ayed pabandioun aur mamlaat mein kami laane aur mamool ki zindagi ki batadreej bahaali ke iqdamaat ka hissa hai. Is zimn mein subah 6 bajey se raat 11 bajey tak iqtisadi sar garmioun ki ijazat hogi. –YTN STAFF