Tuesday, April 30, 2024
HomeTrending NewsDubai ghar se kaam karne ke muamlay mein dosray maqam par

Dubai ghar se kaam karne ke muamlay mein dosray maqam par

Dubai: Coronavirus ki wajah se saari duniya Lockdown se guzarahi hai aur kuch shobo mein khidmaat ghar se anjaam di jarahi hai aur Work From Home ka bol baala hai aur is muamlay mein Dubai ko awliyat haasil hai. Dubai mehakma afradi qowat ne kaha hai ke riyasat ke 80 feesad sarkari mulazim Online Duty anjaam day rahay hain. Riyasat ke sarkari 82 idaray apne mulazmeen se Online kaam karwa rahay hain aur Novel Coronavirus se bachney ke liye muqarrar ahteyati iqdamaat par sad feesad amal kar rahay hain.

Tafseelaat ke mutabiq mehakma afradi qowat ke Director General ABDULLAH ALI BIN ZAYED AL FALASI ne kaha kay Dubai ke sarkari mulazim farz shanaas saabit huve hain. Unhoun ne Online Duty Program ka faisla hotay hi gharroun se kaam baqaidagi se shuru kardiya. Unhoun ne mazeed kaha ke sab se achi baat ye hai ke sarkari mulazmeen apni karkardagi ki baqaida Report bhi pabandi se day rahay hain. Al-Falasi ne kaha ke Dubai ke sarkari mulazmeen ne saabit kardiya ke wo Online Duty System ke ahal hain. Un ki badolat Dubai ku 2020 ke douran Online Duty dainay walay duniya ke behtareen shehroun mein dosra maqam mil gaya. Is ka elaan Americi Magazine ( CEOW aur LD ) ne apni nai Report mein kiya hai. Pehlay Number par is hawalay se Son Francisco shehar hai. –YTN STAFF