Friday, May 3, 2024
HomeSliderDubai Airport par musafiroun ki tadaad mein Record kami

Dubai Airport par musafiroun ki tadaad mein Record kami

Dubai: Dubai Airport ka shumar duniya ke masroof tareen Airports mein hota hai. Duniya bhar ke mumalik ke musafiroun ki aamd o raft rehti hai. Dubai Airport ki tareekh mein pehli martaba musafiroun ki tadadmen kami record ki gayi hai. 2019 mein Dubai Airport se 86.4 million afraad neh safar kiya. 2018 ke muqablay mein musafiroun ki tadaad 3.1 feesad kam huvi hai.

Executive Chairman Pal Karwet ne kaha hai musafiroun ki tadaad mein kami ke kayi asbaab hain. Un mein Helipad ki earzi bandish, Indian Jet Airways ka haadsa aur Bowing 737 makes tayyaroun ki parwaaz par pabandi qabil zikar hain. Pal Karwet ke mutabiq Dubai Airport mumkina tor par 32.2 million musafiroun se mahroom huva hai. 2018 ke douran musafiroun ki aamad waraft bhi mayoos kun rahi. Tawaqqa ye thi ke tadaad mein 10 Feesad ka izafah hoga taham ek feesad dekhnay mein aaya jo 15 baras mein intahi kam hai. 2019 ke douran Dubai Airport se tayyaroun ke Take Off aur landing mein 8.6 feesad kami huvi hai.

Is ke baad 2019 ki aakhri sah mahi mein musafiroun ki aamad mein 1.3 feesad izafah huva hai. Un ki tadaad 21.9 million tak poanch gayi. Airport par pooray saal harmah 7.2 million afraad atay hain. Khayaal kiyajarha hai ke 2020 ki pehli sah mahi mein musafiroun ki tadaad mein kami hogi. China mein Coronavirus phelnay se safri pabandiyan lag rahi hain. Duniya ki taaqatwar tareen iqtisadi riyasat anay janay waloun ki tadaad ghatt rahi hai. Is se Dubai Airport bhi mutasir hoga. –YTN STAFF