Riyadh: Saudi arab mein ek nojawan ne drone ke zareya dost ki walida ko eid ka tohfa bheja hai jis mein adwiyaat bhi shaamil thi. Saudi nojawan Saeed al zahrani ne kaha hai ke mojooda corona virus se bachao ke liye muqarrar hifazati usool ko mad-e-nazar rakhtay hue tamam karwai anjaam di gayi hai.
Web news ke mutabiq al zahrani ne kaha ke Saudi arab mein drone ke zariye tohfay ki tarseel ka yeh pehla waqea hai. Saeed al zahrani ke mutabiq wizarat sehat aur wizarat muwasilat muqami nojawanon ki sarparasti care aur corona ki waba se bachao ke is tareeqay ko raaij karne mein hissa le to kaafi behtar hoga.
Saudi nojawan ney mazeed kaha ke is ney Ahaef ki tarseel ke liye drone ke istemaal ka pehlay tajurbah kiya tha baad azan apne dost ko yeh sahoolat faraham ki. Drone ke zariye adwiyah, tibbi saz-o-samaan aur bunyadi ashya aasani se bheje jasakti hain. iska ke tohfay ki tarseel mein jo drone istemaal kiya woh is ka apna banaya hua nahi hai lekin tecnology mein kuch tarmeem aur izafah kiya gaya hai. -YTN STAFF