Sunday, May 5, 2024
HomeSliderDravid ko hindustani team ki madad ke liye rawana kiya jaye :...

Dravid ko hindustani team ki madad ke liye rawana kiya jaye : vengsarkar

New Delhi: Hindustani team ke sabiq cheif selector Dilip vengsarkar  ne hindustani cricket control board ( BCCI ) se appeal ki hai ke team ke sabiq captain Rahul dravid ko team ki madad ke liye fouran Australia bhejna chahiye. Dilip vengsarkar ka khayal hai ke bator coach Dravid ka tajurbah baqaida captain virat kohli ki ghair mojoodgi mein team ke kaam aayega.

Unki mojoodgi se team ko kaafi madad miley gi. Hindustan ko Australia ke khilaaf pehlay tst mein aath wicket se sharamnaak shikast ka saamna karna para tha. vengsarkar ne ek akhbarko diye gaye interview mein kaha ke BCCI ko dravid ko foran Australia bhejna chahiye. Australia ke mahol mein Dravid se behtar koi bhi hindustani batsman ki rahnumai nahi karsakta. Unki moujoodgi se Nets mein team ko kaafi madad mileygi aur board team mein dravid ka istemaal bakhoobi karsaktha hai. sabiq hindustani captain ne mazid kaha ke dravid ko foran bhaij dena chahiye kyunkay agar inhen 14 din ke liye qarantina mein rehna pada to bhi woh teesray test se team ke sath wabasta ho saktay hain.

‫Yaad rahe ke hindustani team ke sabiq captain Rahul dravid ko wall ( Deewar ) ke naam se jana jata tha jiski asal wajah un ki batting mein shandaar technique thi. Dravid ke beron mumalik khaas kar Australia aur England ke khilaaf muzahirey kaafi shandaar rahay hain lehaza kaha ja raha hai ke mojooda hindustani team ke batsmanoun ko apni batting taknik behtar karne ke liye dravid ki madad leni chahiye.

Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke hindustani team jis ne Adelaide mein Australia ke khilaaf day night test mein maizban team ko 191 par dhair karte hue Sabqat ke zareya mustahkam muaqqaf haasil karliya tha aur aisa lag raha tha ke hindustani team is muqablay mein kamyabi bhi haasil karle gayi ek teesray din ke pehlay session mein hindustani batsman taash ke pattoun ki tarah bikhar gaye aur ek ghanta ke dramayi khail mein Hindustan ko Sabqat se sharamnaak shikast ki hazeemat bardasht karni padi.