Monday, May 6, 2024
HomeLatest NewsDr ne mareez ke masanay se pishaab choos kar iski jaan bachaai

Dr ne mareez ke masanay se pishaab choos kar iski jaan bachaai

New York: Dr ka pesha ek bohat hi mooatbar pesha hai, usay insani sahet aur iski khidmat ka ahem zareya bhi mana jata hai. yaqeenan ye pesha bohat hi izzat aur ehtram ke qabil hai. agar is peshay may insani hamdardi aur insani dard ko samajh kar usay daur karne ka jazba mojood hoto ye sonay pay suhaga hai.

Isi insani hamdardi ke jazbay ke tehat New York may ek Doctor ne logoun ko herat may daaltay hue ek mareez ki jaan bachaai. jis ki kaafi tareef ki ja rahi hai. darasal ek Dr ne havai jahaaz may parwas ke douran ek mareez ke masanay se pishaab choos kar ek buzurag mareez ki jaan bachaai

Tafseelaat ke mutabiq, ek hawai jahaaz jisay apni manzil tak pounchanay ke liye 6 ghantay darkaar they, aisay may jahaaz may sawaar ek buzurag mareez ko achanak Dynsuria hogaya, ek takleef da haalat, jis may pishaab se dard o takleef hoti hai. China se talluq rakhnay wala Vascular Surgeon Zhang Hong isi jahaaz may sawaar tha, usay is mareez ki haalat ka pata chala. is douran jahaaz ke amlay ne musafir mareez ko check kiya to Towa pishaab karne ke qabil nahi tha. tabhi Dr Zhang is Cabin may daakhil ho kar is mareez ko dekha ke is ka masana taqreeban ek Liter pishaab se bhara huwa hai, kyun kay woh pishaab karne se qassar tha.

Is musafir ki zindagi bachanay ke liye Dr ne jahaaz may dastyab Material se samaan tayyar kiya, jis may Portable Oxygen Mask, Sergeon ki soi, Tipe waghera. aur tab Dr Zhyang ne pishaab nikaalte ke liye Sergoen ka istemaal karne ki koshish ki, taham ye kaam nahi huwa. aakhir-kaar Dr ne mun se pishaab choosnay ka iradah kiya. Doctor ne ek Catheter ka istemaal kiya aur 37 minute may 800 Mili Liter pishaab choos liya. Dr Zhyang ke dimagh aur sonch ne buzurag ki jaan bachaai

Aam tor par Dr mareez ko bachanay ki koshish karte hi hain lekin jis terhan is Dr ne pishaab jaisi cheez ko mun se choos kar is mareez ko bachaaya wo bohat hi kam Dr karte hain. is liye ye Dr qabil-e-tareef hai. ittila ke mutabiq hawai jahaaz se utrney ke baad mareez ko Hospital le jaya gaya. –YTN STAFF