Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsDr Khulood Khamis Tabuk ki pehli khaton Secretary General

Dr Khulood Khamis Tabuk ki pehli khaton Secretary General

Riyadh: Saudi wazeer-e-dakhla Dr. Khulood Mohammed al-Khamis ko Tabuk ilaqay council ki secretary general muqarrar kiya hai. Mumlikat mein is mansab par faiz honay wali ye pehli khatoon hain.

Media ke mutabiq Governor Tabuk shehzada Fahd bin Sultan se paiir ko Dr Khamis ne mulaqaat ki. Governor ne inhen naye mansab par faiz honay ki mubarakbaad di. Unhoun ne arzoo zahir ki ke Dr Khulood nai zimma daari ahsen shakal mein anjaam den gi. Saudi khatoon mukhtalif sarkari idaron mein apna kirdaar shayan shaan tareeqay se ada kar rahi hain aur wo watan aziz ki roshan tasweer ban chuki hain.

Shehzada Fahd bin Sultan ne Tabuk council ki kawishon ka tazkara karte hue kaha ke ye council khittay mein tamam taraqiyati-o-samaji shobo ki taraqqi ke liye koshan hai. Dr Khulood Mohammed al-Khamis ne kaha kay inhen khushi hai ke wo Tabuk ki beti hain aur is mansab par sarfraz ki jany wali pehli Saudi khatoon hain. Shah Salman, Wali Ahad aur Governor Tabuk Saudi khawateen ko watan Aziz mein kaleedi ohdon par faiz karne ki policy par amal pera hain. Dr Khulood Khamis ny kaha kay Tabuk ko taraqqi ki nai manzilon tak le jany mein apna kirdar ada karoon gi.

Fr Khulood Khamis ney 2018 mein America ki Howard University se Chemistry mein Ph.D ki. Unhoun ney pehlay Lecturer ki hesiyat se Tabuk University ki Faculty of Science mein tadrees ke faraiz injaam diye phir reader ke tor par kaam kiya. Unhoun ney kayi mayaari tehqeeqi maqalay pesh kiye jabkay science aur universities studies ke shobo ke kayi programmes mein hissa liya.