Sunday, May 12, 2024
HomeHyderabadDouble Decker Buses jald hi Hyderabad ki sadkon par nazar ayengi

Double Decker Buses jald hi Hyderabad ki sadkon par nazar ayengi

Hyderabad: Double Decker jo kabhi hyderabad ki sadkon ki shaan hua karti thi unki anqareeb sadkon par aamad ki umeed ki jarahi hai.

Telangana state road tansport coopration (TSRTC ) shehar ke kuch raastoun par double decker Buses ko wapas laane ka mansoobah bana rahi hai. TSRTC  ne un karwaiyon ke liye tenders ko madoo kiya hai. Guzashta teen mah ke douran cooperation shehar mein Double decker bas khidmaat ko dobarah shuru karne aur mumkina raastoun par ghor karne par kaam kar rahi hai.

RTC ke ohdedaron ke mutabiq nawahi ilaqon jaisay ke sochitra, patancheru, Jeddimetla aur mehdipatnam ke rastay double decker Buses ko chalanay ke qabil hain aur un raastoun par bohat ziyada ghor kiane hai kiye. un Buses ko shehar ki sadkon par chalanay ke imkanaat ka jaiza lainay ke liye muqarrar kardah committee ne secunderabaed. Medchal ke rastay souchitra, secunderabad. Patancheru ke rastay baala nagar, Jedimetla, afzalganj. Mehdipatnam aur kothhe Patancheru ko mumkina raastoun ke tor par tajweez kiya hai. TSRTC  ne chess, Buses ke tajurbah car manufactures se 25 mukammal tor par tayyar shuda double decker intra city Buses ki kharidari ke liye tenders talabb kiye hain, jinko BCV mayarat, CMVR aur TSMV qawaid ke mutabiq diesel ke zareya chalaya jayega.

TSRTC ke cheif mechanical engineer Raghunath rao ne kaha ke double decker Buses ki aasani se chalanay ke liye mutadid raastoun ki nishandahi ki jarahi hai. Unhon ne kaha ke hum ne tamam naamwar manufactures ke tenders talabb kiye hain. shayad is saal hi double decker Buses ko muta-arif karwaya jayega. Un ke mutabiq, double decker Buses ki oonchai 4. 7 meter hogi jabkay chodaai 8.7 meter hogi. Rao ne mazeed kaha tamam 25 Buses non AC hain aur greater hyderabad hudood mein chalaye jayengi. Ek double decker bas ek baqaida bas ki 36 nishiston ke muqablay mein 60 nishiston se ziyada jagah ki haamil hosakti hai.

Is ke alawa, is mein logon ke liye khadne ki jagah hai. 1990 ki dahai ke awakhr mein jab tak ke unhein marhala waar khatam nahi kiya gaya is waqt tak hyderabad mein double decker Buses maqbool nazar ayen. woh secunderabad, mehdipatnam, tamam raastoun mein, 7 zid jo secunderabad se afzal ganj aur high court ke rastay zoo park tak chalaye jati thi woh kaafi mashhoor thi. 2000 ki dahai ke awail mein ek double decker aas paas ke sayahat ko farogh dainay ke liye necklace road ke rastay Hussainsagar ke aas paas muta-arif karwai gayi thi lekin woh ziyada din tak nahi chal saki.