Hyderabad: Greater Hyderabad municipal corporation ( GHMC ) intikhabaat mein BJP hukmaran jamaat TRS ke khilaaf koi mauqa haath se jane nahi di rahi hai aur apni kamyabi ke liye har harba istemal kar rahi hai aur markazi mamlikati wazeer-e-dakhla G.kishan reddy ne awam se appeal ki hai ke woh intikhabi wadon ko nazar andaz karne wali Telangana ki hukmuran jamaat TRS ko munasib sabaq sikhaya jaaye.
Unhon ne ilzaam lagaya ke double bed room makanaat ke naam per riyasati hukoomat ne ghareeb awam ko dhoka diya hai. Golnaka dvision mein BJP ke umidwari ki intikhabi muhim chalaye. unhon ne ghar ghar jaakar raye dahindoun se mulaqaat ki aur BJP ko vote dainay ki khwahish ki. Baad azan Kachi guda mein party umeedwar ki himayat mein road show mein hissa liya. Is mauqa par unhon ne kaha kay BJP ki kamyabi ke liye cadre koi kasar na chhodey kare. kishan reddy ne kaha ke is martaba Mayor ke ohda par BJP ka qabza hoga.
Alawa azeen Telangana BJP ke leader wo telugu filmy ke mazahiy adkaar Baabu mohan ne daawa kiya hai ke Greater Hyderabad municipal corporation ( GHMC ) intikhabaat mein BJP ka jhanda lehrayega. Baabu mohan ne AP ke tiurmal mein media se baat karte hue kaha ke BJP mein shaamil honay walon ki tadaad mein izafah hota jarha hai. Dubbak assembly halqa ke zimni intikhab mein party ki kamyabi se iske hauslay buland hain. Unhon ne daawa kiya ke dono riyasaton Telangana aur AP mein BJP aaindah intikhabaat mein shandaar muqaabla karegi.
Darin asna GHMC intikhabaat ke silsila mein BJP ne mehloun mein shab bisri ke programme ke kal se aaghaz ka faisla kiya hai. Party ke reyasti sadar bandi sanjay ne party ke leadron, kaarkunon aur incharge divisions ke sath tele conference munaqqid ki. Is mauqa par unhon ne is anokhay programme jiska maqsad raye dahinodon ke gharon mein shab bisri karte hue unke muqami masail se waqfiyat haasil karna hai aur is silsila mein ahem mashwaray aur Hidayat den. Unhon ne is programme ko ahmiyat dainay par bhi zor diya. Unhon ne kaha ke GHMC intikhabaat ke silsila mein party ke leaders, karkunaan, incharges isko sanjeedgi ke sath len. Unhon ne kaha kay is programme mein unke sath sath party ke leaders hissa lenge. Unhon ne kaha kay is programme se awam ke masail ko samajhney mein kaafi madad mileygi aur BJP ke corporators ke intikhab ke baad bhi ek din yeh programme munaqqid kiya jayega.