Friday, March 29, 2024
HomeOthersPublic InterestDoosri jung-e-azeem ki magarmach ki mout

Doosri jung-e-azeem ki magarmach ki mout

Berlin: Germany ke shehar Berlin ke ek chidhya ghar mein doosri jang-e-azeem ke douran bomb haadsay mein bach kar Roose pohanchanay wala magar mach 84 saal ki Umar mein mar gaya hai. francesi khabar rasan agency ke mutabiq setrin Nami yeh magarmach America mein 1936 mein peda hua. usay Berlin ke chidya ghar mein muntaqil kiya gaya tha jahan se 23 November 1943 ko honay walay bomb hamlay ke baad woh yahan se nikal gaya tha.

Saal 1946 mein Bartanwi foujioun ne usay dhoond kar SOVIET hukkaam ke hawalay kar diya tha. Moscow chidhya ghar ke hukkaam ne kaha tha ke Bartanwi fojion ke milnay se qabal teen saal tak setrin kahan tha yeh abhi tak ek raaz hi hai.

Unhon ne mazeed kaha ke jab July 1946 mein setrin ko roose laya gaya tha, tab afwahein gardish kar rahi theen ke wo Adolf Hitler ke janwaron ke zaati collections ka hissa hai. taham setrin ko rakhna ek aizaz ki baat thi. woh hamaray paas ( Nazi Germany par ) shikast ke baad laya gaya tha.   –YTN STAFF