Friday, May 17, 2024
HomeExclusiveDoosri jung-e-azeem ke do 250 kilo wazni bomb bar-aamad

Doosri jung-e-azeem ke do 250 kilo wazni bomb bar-aamad

Berlin : Doosri jung-e-azeem ko khatam hue kayi dahe guzar chuke hain lekin ab iske 250 kilo wazni 2 bomb bar-aamad hue hain.

Doosri jung-e-azeem jo 1939 ko shuru hui aur 1945 may khatam hui aur jung-e-azeem ka bech isi waqt bo diya gya tha jab moahida wo rasai par dastakhat hue thay lekin baqaida aaghaz 1 September 1939 ko hua jab Poland par Germany hamla aawar hua aur Bartania nay Germany ke khilaaf elaan jung kar diya. 1918 usay 1939 tak ki europeon tareekh par nazar daali jaye to maloom hota hai ke Bartania is ka khwaahan tha ke Hitler ziyada se ziyada taaqatwar hojaye.

Doosri jung azeem ke do wazni bomb ki tafseelaat ke mutabiq maghribi Germany ke shehar Dortmund mein doosri jang-e azeem ke bombs ki mojoodgi ki ittila mili jis ke baad shehar se 14 hazaar afraad ka inhkela karke 2 bombs ko dhoond liya gaya. hukkaam nay khabardaar kiya tha ke ittihadi fouj ki janib se jung ke douran giraye jane  walay na phatnay walay bomb shehar ki zayed abadi walay hissay ke chaar maqamat par dafan ho saktay hain.

Dortmund shehar ke sarkari twitter par elaan kiya gaya tha ke tamirati kaam ke douran mazdooron ko is hawalay se kuch pata chala hai. ittila ke baad bomb ki talaash karne ka amal shuru hua jiske baad 250 kilogram wazni 2 ( Bartanwi aur Amrici ) bomb miley jisay mehfooz bana diya gaya jab ke mazeed 2 bombs ko bhi talaash kiya gaya lekin woh nah mil sakay. yaad rahay ke Germany mein is se qabal bhi guzashta saal September mein shehar hanover se doosri jang-e azeem ka 250 kilo gram wazni bomb mila tha. –YTN STAFF