Friday, May 3, 2024
HomeSliderDoosri jung azeem ke 99 sala fouji ne Corona ko shikast di

Doosri jung azeem ke 99 sala fouji ne Corona ko shikast di

Brasilia: Brazil mein doosri jung azeem ke ek 99 sala fouji ko COVID-19 Virus se sahet yab honay ke baad fouji aizaz ke sath dawakhana se raha kiya gaya. Doosri jung azeem ke douran Africa mein Brazil ke toup khanaay mein khidmaat anjaam dainay walay Second Lieutenant Ernando Piveta ko moseeqi aur taliyan ki goonj ke douran Brasilia ke Armed Force dawakhane se baher laya gaya.

Army Green Side topi pehnay huve is ne mareezoun ki hesiyat se 8 din ke baad dawakhana se nikaltay hi huwa mein apne baazu uthaye. Is ne ek aur jung jeet li, Is baar naye Coronavirus ke khilaaf. Fouj ne ek bayan mein kaha. Aaj ke din unhein dawakhana se reha kiya gaya tha wo Brazil ke liye doosri jung azeem ke douran Italy mein Montese ki ladai mein apni fouj ki kamyaab muhim ki 75 we saalgirah mana raha hai.

Fouj ne kaha ke Piveta ne fouj ki chothi toup khanah Regiment mein khidmaat anjaam den jo 1942 mein Dakar mein tarbiyat haasil ki, Is ke foran baad hi Brazil ne itihadiyoun ki taraf se jung mein hissa liya. Is ke baad wo hamlay se mulk ka difaa karne ke liye apni Regiment ke sath Brazil wapas aaya. Corona ke wabai marz se Brazil lateeni America ka sab se ziyada mutasirah mulk hai jahan ab tak 1235 amwaat hochuki hain. –YTN STAFF