Berlin : Mafi kabhi bhi mangi jasakti hai chahay ghalti choti ho ya phir aalmi jung ho, ab aisa hi waqea Germany aur poland ke darmiyan paish aaya hai jahan Germany ne aalmi jung ke muamlay par Poland se 80 saal baad maffi mangi hai.
German sadar frank walter steinmeier ne Poland se tareekh ke sab se khonriz tanaza par polish shehar mein taqreeb ke douran maafi maang li. khayaal rahay ke wellon shehar mein 80 saal qabal doosri aalmi jung ka pehla bomb gira tha. tafseelaat ke mutabiq taqreeb ke douran german saddar ne german aur Polish dono zabanon mein kaha ke mein wellon mein hamlay ke mutasireen ke agay apna sir jhukata hon, mein german jabar wo zulm ke Polish mutasireen ke agay sir jhukata hon aur aap se maafi mangta hon.
Doosri aalmi jung ke douran Poland ko nihayat khofnaak lamhaat dekhnay pade they, tanaza mein jahan 5 crore afraad halaak hue un mein 60 laakh sirf police they. un adaad wo shumaar mein 60 laakh yahodi bhi shaamil they jo hollow cast mein halaak hue aur un mein se aadhi tadaad Polish yahudion ki thi.
German saddar ne apne Polish hum mansab ki mojoodgi mein bayan diya ke yeh germans they jinhon ne insaaniyat ke khilat juraim kiye, jo bhi usay maazi ki baten keh raha hai woh apne baray mein faisla kar raha hai. unhon ne mazeed kaha hai ke Germany ka sadar honay ki hesiyat se mein aap ko yaqeen dilaata hon ke hum nahi bhoolain ge, hum chahtay hain ke hum yaad rakhain aur tareekh ne jo hum par zimmedaari di hai hum usay bardasht karen ge.
Polish saddar Andrzej Duda ne Nazi Germany ke Poland par hamlay ko jungi juraim qarar diya. unhon ne kaha ke yeh taqreeb tareekh mein German-polish dosray daur ke aaghaz ke tor par likhi jayegi. –YTN STAFF