Friday, April 19, 2024
HomeHyderabadDono Shehroun mein 41 laakh se zayed raye Dahindgaan Umeedwaron ka faisla...

Dono Shehroun mein 41 laakh se zayed raye Dahindgaan Umeedwaron ka faisla karenge

Hyderabad: Election commission ki janib se Hindustan mein lok sabha ke intikhabaat ka elaan kardiye jaane ke baad dono shehar hyderabad aur secunderabad ka mahol bhi intikhabi nazar aane laga hai.

Dono shehroun mein 14 assembly halqe hain jis mein secunderabad contominent ilaqa Malkajgiri lok sabha halqa mein shaamil ho chuka hai. Hyderabad ke parlimani halqe mein majmoi tour par 1935 polling Stations qaem kiye gay hain aur yeh 770 imaartoun mein qaim kiye jayen ge.

K.Mankikaraj returning officer muqarrar kiye gay hain. doosri janib judwa shehar secunderabad ke liye hyderabad district ke joint collector G.Ravi returning officer ki khidmaat anjaam denge. secunderabad lok sabha mein raye dahindoun ki tadaad 19,54,813 hai jabke Hyderabad mein jumla raye dahindoun ki tadaad 119,59,490 hai.

Isi tarha Hyderabad zila ke 15 assembly nishistoun ke 41 laakh raye dahinde–apne bunyadi haq se istifada karen ge aur yeh 11 April ko apna vote pasandeeda umeed waar ko den ge. Dono shehroun mein jumla voters ki tadaad 41,62,215 hai jis mein mard raye dahindoun ki tadaad 21,57,889 jabke khawateen ki tadaad 20,04,139 hai.

Dilchasp haqeeqat ye bhi hai ke teesri jins ke 187 raye Dahinde bhi maujood hain. secunderabad mein Musheerabad, Ameerpet, Kharitabad, jubilee hills, Sanatnagar, Nampally aur secunderabad halqa maujood hai, isi tarha Hyderabad mein Malakpet, karwan, Gosha mahal,Chandrayangutta, Charminar  Yaqutpura aur Bahadurpura assembly nishistoun ke halqe hain.

Dono shehroun mein jin umeedwaron ke kamyaab honay ki pesh qiyaasi ki jarahi hai un mein secunderabad se TRS aur Hyderabad se AIMIM ko sar fahrist rakha gaya hai, doosri janib secunderabad mein BJP dusra muqam haasil karne ke liye aidee choti ka zor lagaye gi to doosri janib Hyderabad mein hindustani cricket team ke sabiq captain Azhar uddin ko congress ki janib se umeed waar banaye jaane ki qiyaas aaraayan bhi ki jarahi hain .

By ( Mohammad asim nishat )