Thursday, March 28, 2024
HomeOthersPublic InterestDono shehron ki sadkon par Double Decker Buses ki wapsi ka imkaan

Dono shehron ki sadkon par Double Decker Buses ki wapsi ka imkaan

Hyderabad: Ek woh waqt tha jab Hyderabad aur Secunderabad ke darmiyan Double Decker Buses daurti theen jin mein khaas kar Secunderabad Railway Station se Charminar ke liye 8c, Secunderabad se Zoo Park ke liye 7z, Charminar taa Mehendipatnam 65, Secunderabad se Sanatnagar ke liye 10 number ke ilawa Secunderabad se Nampally 49 number ki Double Decker Buses mein awam ka hujhoom taa tha jabkay 8c ke number se safar karne walay hazraat Tank Bond, Nampally, Afzal Ganj aur Charminar ka fazai nazarah bhi karte thay aur ab shayad wahein din wapas anay walay hain kyunkay Double Decker Buses ko dobarah muta-arif karne mansoobah ban raha hai.

Telangana ke wazeer Information Technology K Tarik Rama Rao apne School ke daur ki purani yaado mein khogye jab woh School jane ke liye mashoor Double Decker Bus mein sawaar hotay thay. Wazeer jo Social Media ke platform Twitter par hamesha sargaram rehtay hain, Unhoun ne is silsila mein apni yaado ko taaza karte hue ek Tweet kiya aur wazeer Transport P Ajay Kumar se poocha ke aaya is terhan ki Double Decker Buses ko dobarah shuru kiya jasakta hai? Aisi Buses sirf chand shehron jaisay Thiruvananthapuram mein hi dikhayi deti hain jahan is ki mehdood khidmaat hain. KTR ke is tweet jis ku kahi afraad ne dekha, Double Decker Buses ko shehar ki sadkon par dobarah laane ke nazriya ki himayat ki. Darasal Model and Entrepreneur Shakir Hussain ne wazeer KT Rama Rao ko Tweet karte hue is taraf tawajah dilae thi jinhon ne is Double Decker Bus ki purani tasveer ku bhi post kiya tha jo shehar mein chalaye jati thi. Yeh Bus jis ka number 7z huva karta tha, Secunderabad se barah Afzal Ganj, High Court Route Zoo Park Hyderabad chalaye jati thi.

Unhoun ne is Tweet mein Tarik Rama Rao ko bhi Tag kiya aur un se poocha ke aaya sayaho ya awam ke liye Double Decker Buses ko dobarah chalaya jasakta hai? Is tweet ka jawab dete hue KTR ne kaha Abids ke St. George’s Grammar School ko jane ke douran is double Decker Bus mein safar karne ki meri purani yaden taaza hogayi hain. Mujhe maloom nahi ke yeh Buses kab sadkon se gayab hogai. Sath mein unhoun ne wazeer Transport Ajay Kumar ko Tag karte hue poocha ke kya un Buses ko dobarah shehar mein chalaya jasakta hai? Is par wazeer Transport Ajay Kumar ne kaha ke yaqeenan unko chalaya sakta hai. Woh is talluq se Managing Director RTC se shehar ki sadkon par double Decker RTC Buses ko wapas laane ke silsila mein baat karen ge.