Sunday, April 20, 2025
HomeOthersHealthDoctors ne 56 sala shakhs ke paith se 7.4 kilo ke gurday...

Doctors ne 56 sala shakhs ke paith se 7.4 kilo ke gurday nikalay

New Delhi : Delhi shehar ke hospital mein Doctors ne Delhi ke rehaishi 56 sala shakhs ke paith se 7.4 kilo wazan ke gurday ko surgery ke zareya nikaal diya.

Sir Ganga Ram Hospital ke Dr Sachin Kathuria ne bataya ke aam tor par ek aam insani gurday ka wazan 120-150 gram ke Darmiyan hota hai, lekin ye gurda dono zaeeda bachon ke barabar hai.

Is aaza ko nikaalne ke liye 2 ghantay tak Surgery ki gayi, jiske tole wo arz 32 x 21.8 centimeter tha, aur isne mareez ke poooray pait ke hissay par qabza kar liya tha. mareez jinyati aarzay mein mubtala tha, auto autosomal dominant polycystic kidney disease, jis mein dono gurdoun mein seyal se bharay hue cyst tayyar hotay hain. Is se soojan aur gurday ki kharabi hoti hai. ADPKD mein baad mein gurdoun ki pewand kaari ki zaroorat hoti hai.

Dr. Kathuria  ne kaha ”agar-che pre-operative scans mein ek bohat bada gurda dikhayi diya, iske bawajood hum ne tawaqqa nahi ki thi ke yeh itna bhaari hoga“. Guinness world record mein Doctors ki janib se 2017 mein polycystic gurdon ki bemari mein mubtala mareez ke 4.25 kilo gram wazan ke gurdon ko nikaalte ka zikar kiya gaya hai.

Ab GangaRam hospital ke Doctors ne 7.4 kilo wazan ke gurday ko nikaalne ke liye ki gayi record surgery ke liye guinness world record mein naam darj karwane ki Darkhwast dene ka mansoobah banaya hai.

Drs ke mutabiq is gurday ko nikaalne ke baad se mareez ki tabiyat theek hai aur usay hospital se dischage kar diya gaya hai. woh dialysis se guzar raha hai aur gurday ki pewand kaari ka intzaar kar raha hai. –YTN STAFF