Monday, May 20, 2024
HomeSliderDoctors ki khidmaat ki sataish, Vivo ki janib se Film

Doctors ki khidmaat ki sataish, Vivo ki janib se Film

Hyderabad: Aalmi Smartphone Brand, Vivo India ki janib se is waqt Corona ke qehar ke khilaaf jung mein masroof Doctors ki khidmaat ko kharaaj tehseen pesh kiya hai. Jis ke tehat Company ne nai Digital Film banai hai jis mein “Heroes Who Care” ke unwan se Doctors aur salamti ke kaarkunoun ko ki khidmaat ko salam pesh kiya gaya hai, Jo aalmi wabai COVID-19 ke khilaaf poori shiddat se lad rahay hain. Dentsu Impact ke zareya tayyar ki gayi is Film ka maqsad logoun ko ye yaad dilana hai ke jab hum apne gharoun mein pursukoun tareeqay se zindagi busar kar rahay hain aur masharti doori par amal pera hain to doosri janib muashray ka ek aisa tabqa hai jo intahi mushkil kaam anjaam day raha. Wo har lamha mout ke khatrah mein is ka muqaabla karte huve aur apne faraiz ki anjaam dahi ke alawa qurbaniyan day rahay raha. Wo vaqtna hamaray haqeeqi Hero hain aur hamein un ki aalmi azm, Be los khidmaat, Umeed aur mustaqbil ko behtar bananay ke is aalmi bohraan se ladnay ke liye un ka shukar guzaar hona chahiye.

Jazbati tor par chalne wali is Film mein sahet ki dekh bhaal karne walay peshawar afraad ki koshishoun aur un ki qurbanioun ko dikha ja raha hai ke kis terhan is aalmi wabai bemari ka muqaabla karne mein Doctors koi kasar bayi nahi rakhi gayi. Hindustan bhar mein Doctors aur Nurses apni aam Duty se balatar ho kar 24 ghantay kaam kar rahi hain. Ye Film is aalmi bohraan par Community ki tareef karne ki koshish hai. Film ki tayari ke alawa View India ke CSR ne Coronavirus ke khilaaf apne taawun ke tor two lac surgical aur aur 95 Mask atiyah kiye hain.

Nipun Marya, Director Brand Strategy Vivo India ne kaha hum anay walay waqtoun mein is se bhi ziyada atiyah dainay ka iradah rakhtay hain. Brand Film ke baare mein apne khayalat ka izhaar karte huve Dr aur Frontline Medical amlah aalmi wabai amraaz ka muqaabla karne mein numaya karkardagi ka muzahira kar rahay hain. Is Digital Film ke zareya hum Vivo India mein safaid, Neelay aur sabz topioun mein un haqeeqi Heroes ka vaqata shukriya ada karna chahain ge aur un Coronavirus ke khilaaf ladi janay wali jung ke un sepahioun ke Salam pesh karenge. Hero afsanoun mein mojood ho sakta hai lekin kuch Heroes haqeeqi zindagi mein mojood hain. Wo Doctors, Nurses aur tibbi amlah hai jo awam ki jaanun ko bachanay ke liye apni jaan ki qurbani dainay ke liye tayyar hain. –YTN STAFF