Friday, March 29, 2024
HomeOthersHealthDoctors ka U-turn, Sanitizer ki bajaye sabun se haath dhoney ki hidayat

Doctors ka U-turn, Sanitizer ki bajaye sabun se haath dhoney ki hidayat

Hyderabad: Corona ki wabai bemari ke baad Sanitizer zindagi ka ek ahem juz ban chukahe aur har chand lamhaat baad log is se apne haath dhoney ke ilawa dafatir mein har anay jane walay par is ka is par kiya jane laga hai lekin doosri janib musalsal Sanitizer ke istemaal ke nuqsanaat bhi samnay anay lagey hain jis par jahan mahireen ne tehqeeq ki hai to doosri janib arbab-o-majaaz ne is ke istemaal ko mehdood karte hue dosray zaraye par ghhor karne ka hukum sadir kiya hai.

Supreme Court ne mashahdat ke baad markaz se yeh sawal kiya hai ke keemiyai jaraseem kash dawaon ka chidkao jismani aur nafsiati tor par nuqsaan da hai is ke bawajood is ne awam par jaraseem kash adwiyaat ke chidkao par pabandi ayed kyun nahi ki hai. Mahireen ab Sanitizers ke intehai istemaal par tashweesh ka izhaar kar rahay hain. Sanitizers hifzaan sehat zindagi ka hissa ban chuke hain kyunkay woh sabun aur pani se aksar haath dhoney se kahin ziyada aasaan hain.

Taham Sanitizer ke ziyada istemaal ke manfi asraat par ghor karte hue Doctors ab logon ko mashwara day rahay hain ke woh sabun aur pani se haath dhoney par Sanitizer ke istemaal ko tarjeeh nah den. Agarchay Alcohol par mabni Hand Sanitizer Coronavirus ko halaak kar saktay hain lekin woh makhsoos qisam ke Bacteria aur Virus ke khilaaf mo-asar nahi hain. Misaal ke tor par haath ke C. Dfsail ko nahi maar sakta, Jo Anti Bioticke ziyada istemaal se ishaal ka sabab bantaa hai. Director Public Health Dr. G Srinivas Rao ne kaha ibteda mein hum ne jaraseem ke Sprays ka istemaal kiya lekin is ke fawaid se ziyada nuqsanaat hain. Hum sabun aur pani se haath dhoney ke mutabadil ke tour par Sanitizer ko dekh rahay hain lekin is ke nuqsanaat samnay arhay hain.

Hifzaan sehat ko barqarar rakhnay ka sab se aasaan aur intehai sasta tareeqa sabun aur pani ka istemaal hai. Is se koi farq nahi padta hai ke sabun aur pani se kitni baar haath dhoya jata hai. Yahan tak ke bimarion ke qaboo panay aur rokkk thaam ke Americi marakaz ( CDC ) ne kam az kam 60 feesad Ethanol ke sath Alcohol par mabni Hand Sanitizer istemaal karne ki sifarish un halaat mein ki hai jab sabun aur pani dastyab hi nah ho.

All India Institute of Medical Sciences ke mahireen sehat ne is se qabal mutnabba kiya hai ke Covid-19 ke douran Hand Sanitizers, Anti-Microbial sabun aur Antibiotics ka wasee pemanay par istemaal mazeed Anti-Microbial muzahmat ka baais ban sakta hai. Shehar mein muqeem ek Dr G Abhishek ne kaha sabun aur pani se haath dhoney ka tareeqa sab se behtareen aur Hand Sanitizer sirf isi jagah istemaal kiye jayen jahan koi mutabadil nahi hai. Bohat se aisay ghar aur dafatir mojood hain jinhon ne sabun aur pani ki bajaye taqreeban sanitizer se haath dhoney ki jagah le li hai.