Thursday, May 2, 2024
HomeExclusiveDo Masajid aur shaheed hogai

Do Masajid aur shaheed hogai

Pehlay ye to hota tha ke agar koi masjid girti to kisi na kisi akhbar, portal ya TV par ek sadaye ehtijaj to buland hoti thi. lekin Hyderabad jaisay shehar ke bichon-beech 2 Masajid munhadim kardi jati hain lekin na koi ehtijaj buland hota hai na kahin koi dukh ya afsos.

Haan  hukoomat aur muslim qayadat ki chal bazi ke khilaaf ek ghussa to zahir hua lekin masjid ki shahadat ka dukh kahin bhi zahir nahi aaya. logon ka rawayya aisa tha jaisay ”jaisa ke ghar tha wohi agar khamosh hai to hum kiya karein, qissa ye hua ke Telangana secretariat masajid ki waqf zameen par banaya gaya tha, ab isi secreteriat ki jadeed taamer ke liye masjiden rukawat ban gayeen to masjidoun ka safaya kardiya gaya. hum ko masjid ka maatam karna nahi hai, maatam is se bhi kahin ziyada badey ek aur saneha par karna hai. kyun ke hum is ke alawa ab aur kuch kar bhi nahi sakte.

kuch akhbaaron mein likh kar dil ki bhadas nikaal lenay se ye faida hojata hai ke woh log jo urdu ki aakhri qaari nasal hai, jo ab pachpan saath saal mein daakhil horahee hai, akhbar padhna kuch tabsaray karlena jinki hobby hai, unko kuch taaza ghiza mil jati hai.

Asal saneha kiya hawaas par guftagu karne se pehlay, masjid ke baaray mein thodi tafseel batatay chalein ke ye 2 masjidoun mein se ek masjid hashmi thi jo 1947 se bhi bohat pehlay nawab Mir osman Ali Khan ke dorِ-e-hukoomat mein taamer ki gayi thi, doosri masjid-e-secreteriat kehlati thi, har ek ke hissay mein kaafi zameen waqf thi, jis par AP secretariat taamer kiya gaya tha, jo baad mein Telangana secreteriat ban gaya.

Masajid poori mansoobah bandi ke sath girayi gayeen, atraaf wo aknaaf ki sadkon ko band kardiya gaya, imam aur Mo-azzan ko 3 din pehlay se hi masjid aanay se mana kardiya gaya tha, chunkay secretariat ki taamer ka kaam jari tha is liye mouzan aur imamoun ko ye andaza nahi hua ke inhen khuda hafiz karkay Masajid mukammal zameen doze kardi jayengi ye kaam itna munazzam hua ke bahar ki duniya ko khabar hotay hotay ek hafta laga, kyunkay tafseeli waqea na kisi akhbar mein aaya na kisi social media per, kyunkay is ilaqay ke atraaf ke oonche imaarton ke chhat band karwadiye gaye they, aur kaam karne walon ko mobile le jaaney se sakht mana kardiya gaya tha  baad mein jab logon mein be cheeni peda hui to chief minister ney pehlay kaha ke Masajid ghalti se shaheed hogayin, lekin isse bhi khoobsurat masjid taamer karwadi jaegi. Home minister Mahmood Ali sahab jo isi qisam ke bayanaat day kar awam ko chup karwakar waqt guzar dainay ke kaam par rakhay gaye hain, unhon ney kaha ke Saudi arab ki tarhan ki shandaar masjid taamer hogi, Owaisi sahab jo shehar ke MP hain un ka chief minister ke naam Mubarakbadi aur shukriya ka ek tweet jari hua aur iske baad chand ek deewany chillatay reh gaye, aur ab woh Masajid ek dastanِ Parina hogai. agarchay ke congress aur muslim shaban ke kuch muslim nojawanon nay mehdood group meetings, social media aur jhandion ke zariye sadkon per gahe-ga kuch ehtijaj jari rakha, , lekin un ka ye ehtijaj ek siyasi mukhalif party ke logon ki taraf se honay ki wajah se bohat aasani se nazar andaz kardiya gaya.

Rasaman ek do jamaaton ne Whatsapp aur Facebook par masjid ko isi jagah bananay ka mutalba kiya, aur ek do hazraat court bhi gaye, lekin hukoomat ka rawayya ye hai ke ”jao jo hamara bigaad sakte ho bigaad lo“, kyunkay NRC -CAA ke ehtijaj ke zamane se police ki dehshat jo zehnon mein bithanay ki rehearsal ki jarahi thi ab poori kaam aayi.

Ab un sawalaat per wazifa yab farigh hazraat behas karte rahen ke agar ghalti se Masajid shaheed huien to kiya khaati ke khilaaf police report hui? agar sab kuch ghalti se hua to kiya Masajid isi maqam par banai jaingi? taamer ka naqsha jo jari kiya gaya hai is mein do ke bajaye sirf ek masjid hai jo apne asal maqam par nahi balkay kahin aur hatt kar hai. asal masjid ki jagah sadak ban’nay wali hai.
Masajid ghalti se gireen ya danista mansoobah bandi se girayi gayeen ye raaz is tarhan faash hogaya ke wahan ek mandir bhi thi jo munhadim kardi gayi

haerat is baat par hai ke mandir ke liye na koi ehtijaj hua, na log sadak par aaye, jab ke BJP ne shehar mein mahol ko is qader firqa warana aur zahreela kiya hua hai ke agar ghalti se bhi koi car kisi mandir ki deewar se takra jaye to ye log sadkon par nikal kar hangame barpaa kar dalte hain, lekin ek mandir giraadee gayi aur ye log khamosh rahay. suna ye gaya ke inhedam se pehlay pujariyoun ne khud murtiyan hatayin.

Is se saaf zahir hota hai ke Masajid aur mandir ke inhedam se pehlay hindu aur muslim dono taraf ke khaas khaas leadron ko etemaad mein leliya gaya jis tarhan babri masjid ke faislay ke waqt hua tha. ek sawal phir bhi ye uthta hai ke mandir ki mortyan to bahafazat hatwai gayeen lekin masajid ki janimazin, quran aur deegar cheeze kiya utha kar rakhi gayeen ya dump kardi gayeen? imam aur mauzan hazraat se ta haal kisi ka koi rabita nahi hai. maloom ye hua hai ke inhen kisi se bhi baat karne se sakhti se mana kiya gaya hai.

Masajid shaheed karne ki wajah agar sadak ki taamer, ya iski jagah ek badi masjid ki taamer, ya koi aur misbet-tameeri mansoobah hota to shaed itna dukh na hota, kyunkay Saudi arab mein bhi hum ne dekha ke wahan agar kabhi koi masjid girayi bhi jati to kisi misbet tameeri maqsad se, lekin iski jagah kahin ziyada shandaar masjid wujood mein bhi ajati. lekin secretariat ki Masajid jis maqsad se girayi gayi hain, is ke peechay jo maqsad kaarfarma tha woh musalmanoon ke liye, yani ummate ibraahimi ke liye jiski bassat ka maqsad shirk ko mitana aur butoun ko todna tha aisi ummat ke liye intahi bais-e-sharam hai. aur is se ghaflat ka azaab duniya aur akhirat dono mein zillat aur ruswai hai. Cheif minister sahab ka vasto par aqeedah hai, aur secretariat ki imarat ki taamer vasto ke mutabiq nahi hui thi. hui to thi lekin is waqt ke cheif minister jin panditon ko mante they un ke mutabiq vasto kuch aur tha aur ab ye cheif minister sahab jin panditon ko mante hain unka vasto alag hai.

Ye ek mushrikana aqeedah hai. agar is aqeday mein koi buraiee nahi bhi hai to ye aisa aqeedah bhi nahi ke iske liye achi khasi imaarton ko gira kar senkdo crore rupiya barbaad karkay, iske liye masajid ko shaheed karkay naye vasto ke mutabiq imarat banai jaye, aur woh bhi aisay waqt mein jab ke corona aur iske baad ke halaat ki wajah se log bhukay mar rahe hain, be-rozgari apne poooray urooj par pohanch gayi hai. corporate dawakhane loot machaye hue hain, kayi school aur college band ho chukay hain, khud hukoomat ke paas tankhwahin dainay paisa nahi hai aisay waqt mein awam ka paisa awam ke naazuk waqt par kaam anay ke bajaye 1 shakhs ke mazhabi aqeday par barbaad ho raha hai., ye sab se ziyada afsoosnaak baat hai. aur aisay mushrikana aqaed ki bunyaad par aisay project ki himayat mein khud muslim qaideen ka khamosh rehna poori ummat ke liye baais-e sharam hai.

Asal saneha
Un sawalaat ke jawabaat na to hamein chief minister se chahiye, na muslim qayadat se. jawabaat hamein jawabaat maloom hain. ab hukoomat aur muslim qayadat ko achi tarhan ilm hai ke musalman badey se badey haadsay par kitna shoor pukar karenge, taqriron ya bayanaat mein kiya kahinge, urdu akhbaron ya social media par kiya likhlenge. inhen iska bhi achi tarhan andaza hai ke ye sab padhnay walay ya suneney walay kon hain, kitna dam rakhtay hain, chunkay national media siwaye urdu ke kahin bhi inhedam ke khilaaf ek lafz bhi anay nahi deyga.

ye urdu walay urdu akhbarat mein cheekh kar Chila kar khamosh hojayinge. Inhen ye bhi maloom hai ke aisay hadsaat ek ya do hafta se ziyada khabroun mein nahi rehtay, joon hi ek aur waqea hua log nadaan bachay ki tarhan hotay hain, purana waqea bhool kar naye waqea mein kho jatte hain, abhi masjid giri, log baat kar hi rahay they, TV aur social media par Amitabh bachchan ke karvna ki wajah se dawakhane mein shareek honay ki khabar par guftagu karne lagey kiya is bhaand ka corona ka shikaar hona aur dawakhane mein shareek hona koi national khabar hai? lekin whatsapp aur Facebook ke bimaroun ke liye zaroor ahem khabar hai. har roz nai nai khabron ko sirf forward karkay apne farz se subukdosh hojana jis qoum ki zindagi ka chalan ban jaye ab is qoum ko jaganay ke liye sirf hazrat Israfeel ka soor hi kaam karega. ye silsila ab yun hi chalne wala hai, kuch dinon mein mathura aur kasha ki masjidoun ka faisla aayega.

Babri Masjid ki jagah mandir ka sang-e-bunyaad rakha jaayegaa, aur poooray hindustan ke firqa parast jama hokar apni quwat ka muzahira karenge, Bakrid par kuch janwaron ko le kar kuch maqamat par marpeet hogi, un tamam waqeat ka maqsad ab musalmanoun ko oxygen se coma mein bhejnay ka mukammal bandobast karna hai. warna kiya wajah hai ke Hyderabad to musalmanoon ka woh shehar hai jo agar kisi bhi jagah ke musalman par kuch aanch aaye, uskay khilaaf aawaz uthany mein sab se pehlay hua karta tha, Million March iska sab se bada saboot hai.

Lekin achanak ye kiya hua ke apne hi shehar ki Masajid shaheed hogayin lekin har shakhs is liye khamosh hai ke woh yahi soch raha hai ke jab qayadat khamosh hai to hum kiya kar saktay hain. woh qayadat jiski ek aawaz par log sadkon par nikal atay aur dushman ki eent se eent bajanay tayyar ho jatay, woh aawaz hi Maslehat ki chadar ourh kar pata nahi kis gali ki hogayi. qayadat aur iske sath denay wali jamaten samajh daar hain, unhon ne jab dekh liya ke qoum itni ghaflat ka shikaar hai ke ab sadkon par nahi aayegi, to unhon ne ye kiya ke qoum ki is ghaflat ka souda karliya

Chunke inhen bhi aur hukoomat ko ye maloom hai ke un munhadim ki jane wali masajid mein musalli kitney atay they. jab Allah ka ghar yun bhi weraan pada rehta tha, to aisa ghar dushman ki nazar mein kyun nahi khatkata? is liye Masajid jab munhadim huien, kayi musalman mulazmeen ne bhi dekha, lekin kyun kisi ne ehtijaj nahi kya, kyun kisi ki ghairat imani aur hamiat qaumi nahi jaagi, kyun unhon ne khamosh rehne ko tarjeeh di? secretariat ko kisi na kisi kaam se jane walay hazaron afraad hain, kiya koi ye bata sakta hai ke kabhi azaan ki aawaz sun kar kisi ne masjid ka rukh Kiya tha. ye asal saneha hai.

Yogi police aur Delhi police ek aisa model ban chuka hai jiska khauf har riyasat par chagaya hai. kisi aur par ho na ho, musalmanoon ke zehen par to ye khauf achi tarhan baith chuka hai. Narsimha Rao ki taswerain shehar mein jagah jagah lagadi gayeen koi kuch na karsaka, aur 1 shakhs jo Babri masjid ke inhedam ki saazish ka asal sarghanah tha jiska talluq na hukmaran jamaat se hai na muslim qayadat se, is ke bawajood iski taqarib par crores rupiya barbaad kiya ja raha hai.

Ye awam ki buzdili aur hukoomat ki hatt-dharmi aur dictatorship ka khula saboot hi nahi sakht warning hai. ab ghar ghar se safoorah, kafeel, Sharjil agar pakdae jayenge to siwaye social media par log tabsaray karne ke aur kuch nahi karaingay. agar pados ka bacha bhi girftar ho jaye to padosi ghar se nikal kar police walon se baat nahi karega balkay Facebook ya Twitter par sawal karega, jab ke usay achi tarhan maloom hai ke ye social media aisay hi un tamam kachra logon ka adda hai jo time paas ke liye jama hotay hain.

Yahan jo chahay likh lo, jo chahay keh lo, hukoomat ho ke police, achi tarhan jantay hain ke ye sab zöe ke janwaron ki tarhan hotay hain jo chinghadte zaroor hain, lekin unse darne ki zaroorat nahi, ye to pinjron mein band hotay hain. haan pinjare salakhon ke nahi hotay, khauf ke pinjare hotay hain, qanoon aur jail ke khauf ke, bachon ke mustaqbil ke khauf ke, ya phir lalach ke pinjre hotay hain. kisi urdu akidimi ya muqami hajj ya auqaaf ki sadarat ka lalach, corporator ya assembly ke ticket ka lalach ke pinjre hotay hain.

Inhen achi tarhan chunkay maloom hai ke ab chahay Masajid shaheed kardo, chahay face encounter kardalo, chahay unki economy aur rozgaar ya taleem tabah kardalo, chahay narsimha rao ke poster saaray shehar mein ladgwa do chahay iski saalgirah taqarib par crores rupiya kharch kardalo, na musalman kuch kar saktay hain na dalit aur na doosri zatein. is liye hamein na chief minister se sawalaat karne hain aur na muslim qayadat se aur na muslim qayadat ke peechay chalne walon se. ye sab samajh daar log hain.

Inqalaabat sirf masses se atay hain. jab tak log sir per kafan bandh kar sadkon par na nikleen koi inqilab nahi aasakta. ab jo log apne saroun ko bachanay ki fikar mein apni zabanon ko band kar chukay hain, himatoun ko mu-attal kar chukay hain woh darasal ye faisla kar chukay hain ke kal unki naslen matehat aur ghulam Ibn-e- ghulam Ibn-e-ghulam ban kar hi is desh mein rahengi.

Behr-haal 2 masajid ki shahadat par ye qabrastan jaisi khamoshi ab mustaqbil mein kayi aur masajid ki shahadat aur is se ziyada ahem ye ke himmat, azaim aur hosloun ki mout ka paegham day rahi hai. umeed ki hamein koi kiran is liye nazar nahi aati ke aisay kayi mazameen padh kar log raqam-al-huroof ko phone karkay khoob sarahtay hain, lekin jitne phone atay hain woh tamam ya to retired logon ke hotay hain, hasrat reh gayi ke kabhi koi nojawan ladke ya ladkiyan phone karlen jinke liye ye mazameen likhay jatay hain.

Inhen na masajid ke inhedam ki parwa hai na khud un ke apne deen, culture, tareekh aur qaumi shaan ki fikar hai aur na inhen ye fikar hai ke kal ke hindustan mein unki haesiyat kiya hogi. ab inhen koi ye kaisay bataye ke kal ke hindustan mein unki haesiyat Harejonoun se bhi badter bananay ki poori mansoobah bandi hochuki hai. yahi sab se bada saneha hai. ‘watan ki fikar kar nadaa museebat aanay wali hai, teri barbadiyon ke mashwaray hain asmanon mein.

 

Dr. Aleem khan Falki

9642571721

Sadar  socio Reforms society, Hyderabad

Disclaimer: The views, thoughts & opinions expressed within this article are the personal opinions of the author. and the same does not reflect the views of Y THIS NEWS and Y THIS NEWS does not assume any responsibility or liability for the same.