DMK Sarbarah M Karunanidhi ku 18th July ku Trachea tube ki tabdeeli ke liye Hospital mein shareek kya gaya. 28 July ko blood pressure mein kMi ke baais dobarah shareek hospital karwaya gaya tha.
Chennai. DMK sarguru 94 sala M Karunanidhi m. Karunanidhi ka aaj shaM chinayi ke Kauveri Hospital mein dehant hogaya. Unhon ney 5 martaba Tamilnadu ke Chief Minister ki hesiyat se khidmaat anjaam di aur 6 dahun tak Tamilnadu ki siyasat par chaaye rahay. Woh apne sakht tareen mukhalif M G Ramchandran aur un ke baad Jaya Lalitha se hamesha nabrid aazma rahay. M Karunanidhi ko 18 July ko Trachea Tube ki tabdeeli ke liye Hospital mein shareek kya gaya. 28th July ko blood pressure mein kami ke baayis dubarah shareek e Hospital kiya gaya tha.Woh guzishta aik baras se kabhi Hospital mein to kabhi bahar rah rahay they. Aik saal se ziyada woh awaMi progrMmes se door hi rehne lagey they. kabhi kabhar woh party ke daftar pahonch jaya karte they ya phir apne ghar ke oopar bahar nikal kar apne hMion ko haath lehra kar apna deedar krwadya karte they. Kal shab hi yeh khabar aagai thi ke un ki haalat bigadney lagi hai tahM aaj subah Karunanidhi ke arkaan e khandan aur Hospital walon ney kaha tha ke un ki haalat mein sudhaar araha hai. un ki sahet bigad jaane ki khabar aM hotay hi un ke hazaron madah Kauvery Hospital ke bahar jMa hona shuru hogaye they. HMion ko muntashir karne Police ko halki si taaqat ka istemaal bhi karna pada.
Karunanidhi siyasat mein qadM rakhnay se qabal M G RMchandran aur Jaya Lalitha ki terha filmi duniya se wabista thaiy aur Periyar EVR ki zair e qayadat Dravidian tehreek ke liye khud ko waqf kardiya tha. DMK nazriya saaz CN Anadurai ke faut hojane ke baad M Karunanidhi 1969 mein Chief Minister banay. Teen saal baad M G Ramchandran se un ki un ban hogayi aur unhon ney aakhir uz zikr qaayed ko Party se nikaal diya, jis par Ramchandran ney All India Anna Dravida Manitra Khazagamur ( AIADMK ) ki binaa daaltay hue zindagi bhar Karunanidhi se siyasi taur par nabrid aazma rahay. Un ke baad Jaya Lalitha bhi Karunanidhi ke khilaaf zindagi bhar ladte rahen. AIADMK 1977 mein Iqtidaar mein aagai aur Ramchandran ney apni hayaat mein DMK ko intikhabi kamyabi haasil honay nahi di. M G R ki mout ke baad Karunanidhi 1989 mein dobarah Iqtidaar haasil kya taham Rajiv Gandhi ki jazbati halakat ke baad inhen Iqtidaar se be dakhal kardiya gaya chunkay yeh ta-assur tha ke Rajiv Gandhi ka qatal karne wali Lankan tanzeem LTTE ke sath un ke qareebi rawabit rahay hainJaya K Lalitha par bdanwanyon ke sangeen ilzamat ke baad woh dubarah 1996 mein Iqtidaar mein lout aeye they. Is terha kabhi woh Iqtidaar mein hotay to kabhi un ki badtareen hareef Jaya Lalitha Iqtidaar mein hoteen. M Karunanidhi ki mout par Sadar Jamhooria Hind Mr. Ram Nath Kovind, Wazeer e Aazam Mr. Narendra Modi, Congress sarbarah Sonia Gandhi aur Sadar Rahul Gandhi ke alawa mukhtalif riyaston ke wuzraye aala ney apne ranj o ghM ka izhaar kya.