Saturday, May 18, 2024
HomeSportsDjokovic ke tournament se kayi khiladi aur degar farad Corona ke shikaar

Djokovic ke tournament se kayi khiladi aur degar farad Corona ke shikaar

Jadar: Bulgaria ke sare fehrist Tennis khiladi Grigor Dimitrov ke bad Croatia ke Borna Coric mein bhi coronavirus se mutasir honay se mutaliq report misbet aayi hai. Dimitrov aur Coric ney Serbia ke Novak Djokovic ke zair e ihtimaam Adria Tour  ke numaishi tournament mein shirkat ki thi. Jadar Tournament ka final match ab mansookh kardiya gaya hai. Is Tournament mein un ke ilawa Novak Djokovic, Alexander Zverev aur Dominic Thiem ney bhi hissa liya hai. Aalmi number 33 Croatia khiladi Coric ne Twit kiya ke wo is marz mein mubtala hain. Coric ne likha ke mein aap ko batana chahta hon ke Covid-19 ka mera test misbet aaya hai. Jo bhi shakhs mujh se pichlle kuch dinoun se raabtey mein hai barah karam apna test karwaen. Mein ghar wapas aaya hon aur sahet yab ho raha hon. Ab mujhe koi alamat nahi hai. Agar mujh se kisi ku pareshani huvi ho to mein is ke liye moazrat khuwa hon.

Duniya ke 18 we number ke Bulgaria ke khiladi Dimitrov ne Instagram par apni tasweer shaya karte huve likha ke mein apne madahoun aur dostoun ko batana chahta hon ke meri corona ki report misbet aayi hai. Mein chahta hon ke jo loog maazi mein mere sath raabtey mein aaye hain wo zurori ahteyati tadabeer ke sath apni jaanch khud karen. Agar kisi ne meri wajah se kisi ko takleef huvi ho to mein maffi chahta hon. Mein is bemari se sahet yab ho raha hon. Aap ke taawun ka shukriya aur aap sayhat mand rahen, Salamat rahen.

Bain ul aqwami Tennis ko corona ki wajah se March ke wast se hi multawi kardiya gaya hai aur isi isna mein Djokovic ne ek Charity Event ke tor par 4 marhalay ke Adria Tour ihtimaam kiya hai jo Bulgaria mein ekhtataam pazeer huwa hai jis ko guzashta haftay Austria ke Dominic Thiem ne jeeta tha. Jadar ki dosray league ka final match mansookh kardiya gaya hai. Djokovic final mein poanch gaye. 27-28 June ko Montenegro mein honay wala teesra marhala corona ki wajah se pehlay hi mansookh kardiya gaya hai. Is doray ka choutha aur aakhri marhala Bosnia ke shehar Banja Luka mein 3-4 July ka hune wala hai.

Djokovic ke fitness coach Marco Panichi bhi corona se mutasir huve hain. Belgium mein Adria Tour ki pehlay league ko dekhnay ke shaiqeen ki Gallery khacha-khach bhari huvi thi jo ek dosray ko Net par gale laga rahay they, Clubs mein tasveer kheja rahe te aur naach rahay they. Muntazmeen ne ek bayan jari karte huve kaha ke ye sifarish ki jati hai ke jo koi bhi 10 minute se ziyada arsa se un khiladioun ke sath rabita mein aaya hai usay khud 14 din ke liye allag thalag rehna chahiye aur apne Dr se rabita karna chahiye.

Australia khiladi Nick Kyrgios ney Tiwt kiya hai ke kya Dimitrov  ke nateejay ke baad Djokovic’s , Thiem aur Zverev   ki jaanch ki gayi hai. Dimitrov Coric se hargye aur ek muqami akhbar ney ittila di ke tab se Dimitrov ki tabiyat theek nahi hai. Monaco wapas anay ke baad Dimitrov ney sah pehar elaan kiya ke wo corona se misbet hain.

Croatia mein Dimitrov ney guzashta jumaraat ko muqami bachoun ke sath bachoun ke din ki taqreeb mein shirkat ki. Unhoun ney jummay ke roz ek muqami team aur deegar tennis khiladioun ke sath Basketball match bhi khela. Dimitrov guzashta haftay ke aakhir mein Adria tour se pehlay Serbia mein they. Ye wazeh nahi hai ke wo corona mein kab mubtala huve.

Itwaar ki shaam Jadar ka Soul protection head quarter ne Bulgaria khiladioun ke 10 minute se ziyada raabtey mein rehne ke baad tamam shehrioun ko 14 din ke liye tanhai mein rehne ki Appeal ki. Croatia mein jumaraat se corona mamlaat mein izafah dekhnay mein aaraha hai. Naye mamlaat ziyada tar padosi mumalik ke logoun se mutaliq hain.