Monday, May 6, 2024
HomeLatest NewsDiwali ki aatish baazi se corona ke khatarnaak honay ka khadsha

Diwali ki aatish baazi se corona ke khatarnaak honay ka khadsha

New Delhi: Coronavirus ki waba aur aloodgi ke paish-e-nazar mahireen sehat ne diwali ke douran aatish baazi se bachney ki appeal ki hai kyunkay is ki wajah se aaludgi ke sath sath Covid-19 infection ke khatray mein izafah bhi hosakta hai. Mahireen ne kaha ke sard mausam aur aaloodgi ki wajah se kohar badhne laga hai aur agar aatish baazi se parhaiz nahi kiya gaya to soorat-e-haal aur kharab hosakti hai jis se Covid-19 virus ke phelnay aur iski wajah se amwaat ki sharah mein taizi se izafah hosakta hai.

New delhi ke heart institute ke Dr Rahul gupta ne kaha hai ke jab darja-e-hararat kam honay aur aloodgi ziyada honay ki wajah se hawa mein taweel arsay tak aloodgi ke zarraat mojood rehtay hain to coronavirus ke phelnay ka khatrah ziyada badh jata hai aur is wajah se log jald beemari ki zad mein aasaktay hain. fizai aloodgi ziyada honay par phephdey par ziyada dabao padta hai aur khilyaat ziyada tabah hotay hain jiski wajah se coronavirus aur deegar chootey viruson ka hamaray pehphdon par hamla karna aasaan hojata hai. mutalea se maloom hua hai ke jin ilaqon mein aloodgi ziyada hoti hai wahan covid se mutasir honay aur corona se amwaat ke bhi muamlay badh sakte hain.

Fortis hospital, Noida aur forts escorts heart reserch institute, nai Dehli ke brain aur spine mehakma ke director Rahul gupta ne kaha hai ke sardi ki abhi ibtida hui hai aur kohar ki ibtida abhi nahi hui hai, is ke bawajood AQI ki satah khatarnaak zamray mein yani 300 aur 500 ke darmiyan hai. Apollo hospital ke senior internal medicine maahir Dr rakesh kumar ne awam se appeal ki ke woh patakhe na chalayein aur green diwali mananay ki appeal karte hue kaha hai ke aatish baazi mahol aur insani sehat ke liye nuqsaan da hai. diwali ke douran aatish baazi ke baais fazai aloodgi mein mazeed izafay ka khatrah hai jiski wajah se hawa aur bhi zahrili hosakti hai .

Ek hospital ke DR ke mutabiq sab se ziyada istemaal kiye jane walay 6 patakhon saamp patakhe, ladi ( ek hazaar patakhe ke sath ), phool jadi, pal pal ( taare ki terhan chamaknay walay ), aur anar chakri world health organization ke zareya makhsoos hudood se 200 se 2000 gina ziyada zarraat maday ka ikhraj karte hain jo kay aloodgi mein khatarnaak izafah ka baais hain.