Sunday, April 20, 2025
HomeLatest NewsDinesh Karthik Captani se mustafi, Morgan naye Captain

Dinesh Karthik Captani se mustafi, Morgan naye Captain

Abu Dhabi: Kolkata Knight Riders ke Captain Dinesh Karthik ne bat se apni mayoos kun karkardagi ke pesh-e-nazar team ki captani chodi hai taakay woh apni batting par tawajah markooz kar saken. England ke World Cup faateh Captain Eoin Morgan ko Karthik ki jagah team ka naya Captain naamzad kiya gaya hai.

Dinesh Karthik ke mutabiq woh apni batting par apni tawajah markoz karna chahtay hain aur team ki kamyabi mein apna rule ada karna chahtay hain lehaza woh captani ki zimma daari chod rahay hain. Karthik ki zair-e-qayadat Kolkata ne is season mein 7 mein se 4 match jeetay hain aur 3 match gawaion hain aur woh is waqt points table mein 8 points ke sath chouthay number par hai.

Karthik ne is season mein batting ka muzahira acha nahi kiya hai aur woh flhaal IPL 13 mein 15.42 ki ost se 108 runs bana ye hain. Karthik ko Gautam Gambhir ke baad March 2018 mein Kolkata ka Captain banaya gaya tha. 2018 mein KKR Playoff mein jagah bananay mein kamyaab raha lekin guzashta season mein league round mein is ka ikhraj hogaya. Karthik ne 2018 season mein 49.8 ki ost se 498 runs banaye thay.

Apni captani mein 2019 One Day World Cup khitaab jeetnay walay Morgan ko Karthik ki jagah Kolkata ki zimma daari sonpi gayi hai. Morgan filhaal is team ke naib captain hain. Morgan ki qayadat mein England 2016 ke T20 world Cup ke final mein pouncha tha jahan woh West Indies se usay shikast hui thi. Morgan ko Kolkata ne 2019 ki nilami mein 5.25 crore mein khareeda tha. Morgan is se qabal 2011 se 2013 tak Kolkata ki team mein shaamil rahay hain.

Karthik ne is season mein Mumbai Indians ke khilaaf 30, Sunrisers Hyderabad ke khilaaf sifar, Rajasthan Royals ke khilaaf 1, Delhi Capitals ke khilaaf 6, Chennai super Kings ke khilaaf 12, Kings XI Punjab ke khilaaf 58 aur Royal Challengers Bangalore ke khilaaf ek runs banaye hain. Kolkata ke Chief Executive Officer Venky Mysore ne kaha ke hum khush qismat hain ke Karthik jaisa captain mila hai jis ne team ko hamesha agay rakha. Un jaisay captain ke liye is terhan ka faisla lena bohat mushkil hai. Hum un ke faislay par herat zada hain lekin sath hi sath is ke faislay ka ehtram bhi karte hain.