Thursday, May 16, 2024
HomeLatest NewsDil-Bardashta Rayudu Ki Cricket Se Subuk-Doshi Aur Gambhir Ki Tanqeed

Dil-Bardashta Rayudu Ki Cricket Se Subuk-Doshi Aur Gambhir Ki Tanqeed

Hyderabad: World cup mein do martaba zakhmi khiladiyoun ke maqam par team mein shaamil nah kiye jane ke baad middle order batsman Ambati Rayudu dil-bardashtah hokar tamam tarz ki cricket se subuk doshi ikhtiyar karli hai taham unhon ne apni subuk doshi ki koi khaas wajah nahi batayi.

33 sala Ambati Rayudu jin ka taluq Andhra Pradesh se hai, unhoun ne Vjay Shankar ke zakhmi hokar world cup se bahar honay ke baad bhi team mein shaamil nah kiye jane se subuk doshi ka elaan kardiya hai. Shankar ke zakhmi hokar world cup se bahar honay ke baad unke mutabadil ke tor par dosray opener Mayank Agarwal ko team mein shaamil kiya gaya hai halaanke hyderabad, Baroda, Andhra aur vidarbha ki teams ki numaindagi karne walay bain ul aqwami satah par bhi Hindustan ke liye kamyaab middle order batsman ke tor par apni salahiyatoun ko manwane walay Ambati Rayudu ko team mein shaamil nahi kiya gaya.

Rayudu jinhoun ne 55 ODI muqabloun mein Hindustan ki numaindagi ki hai, aur 47.05 ki ausat se 1,694 runs score kiye hain, world cup ke aaghaz se chand mah qabal captain Virat kohli ne Ambati Rayudu ko number 4 ke liye behtareen batsman qarar diya tha lekin world cup mein inhen shaamil nahi kiya gaya halaanke umeed ki jarahi thi ke shekhar Dhawan ke baad jab Vijay Shankar bhi zakhmi hokar world cup se bahar hogaye to Rayudu ko mauqa diya jaye ga lekin haeran kin tor par middle order ke bajaye opener Agarwal ko shaamil kiya gaya hai. jabkay mega event mein KL Rahul aur Rohit sharma ki jodi kamyaab aaghaz faraham kar rahi hai.

World cup team mein shaamil na kiye jane ke baad dilbardashtah hokar subuk doshi ka elaan karne walay Rayudu ke waqea par team ke sabiq opener Gautam Gambhir ne selection panel par shadeed tanqeed ki hai. Gambhir ne MSK prasad ki qiyadat mein moujood paanch selection ki committee par shadeed tanqeed karte hue kaha ke Rayudu ne jitne runs apne mukhtasir career mein score kiye hain, itnay runs selection panel ke paanch selector ne majmoi tor par score nahi kiye hain.

Cricket live par izhaar-e-khayaal karte hue Gambhir ne kaha ke mere hisaab se rawan world cup mein selector ne mukammal mayoos kiya hai aur yahi wajah hai ke Rayudu ne subuk doshi ka faisla kiya. Rayudu ke faislay se andaza hota hai ke selector ke faislon ki salahiyat kya hai. gmbhir ne Rayudu ki subuk doshi ke faislay ko hindustani cricket ke liye mayoos kan lamha qarar diya. -YTN STAFF