Monday, April 21, 2025
HomeSliderDifai Champion Supernovas ko Final ki daud se baher honay ka khatrah

Difai Champion Supernovas ko Final ki daud se baher honay ka khatrah

Sharjah: Smriti Mandhana ki zair qayadat Trailblazers ne 09 wicket se jeet ke sath womens T20 challenge Tournament ke final mein apni jagah ko yakeeni bana liya hai aur hafta ko Supernovas ke sath khailay jane walay muqablay se Final ki doosri team ka faisla hoga. Final 9 Trailblazers. Trailblazers ne apne net run rate ko ek hi kamyabi se misbet mein pohancha diya hai aur woh 3 teams ke table mein sare fehrist hain. Velocity ne apne dono league match khail liye hain aur woh dosray number par hai. Aakhri martaba do baar ki Champion team Supernovas apna pehla match Velocity se haar gayi thi aur woh teesray maqam par par hai.

Supernovas ko nah sirf Trailblazers ke sath match jeetna hoga balkay apne net run rate ko bhi behtar rakhna hoga. Supernovas ki jeet ki soorat mein tenu teams do do point score karleye gi aur is ke baad run rate faisla kere ga ke final ki konsi teams hon gi.

Yahan tak ke agar Trailblazers haar jati hai to is ka run rate itna acha hai ke final mein is ki rasai ko khatrah nahi hoga. Net run rate agar Trailblazers haar jata hai to Velocity aur Supernovas ke mabain dosray final ka faisla hoga lekin agar Trailblazers jeet jatay hain to Velocity ko final mein dakhila mil jaye ga aur aakhri baar du martaba ki Champion Supernovas ka safar khatam hojaye ga.

Trailblazers ne jumaraat ko Vilocity ki team ko 15. 1 overs mein sirf 47 runs par dhair karne ke baad 7. 5 over mein 1 wicket par 49 runs banakar yak Tarfah fatah haasil karli thi. Sophie Ecclestone ne sirf 9 runs day kar 4 wickten haasil kee. Velocity ki janib se nojawan opener Shafali Verma ne sab se ziyada 13 runs banaye thay jabkay Shikha Pandey ne 10 runs aur Leigh Kasperek ne not out 11 runs banaye.

Velocity ki Captain Mitali Raj  ne kaha ke is sharamnaak shikast ke baad un ki team is match ki ghaltion se sabaq letay hue aglay match ki tayari kere gi. Velocity ne is se qabal baen haath ki spinner Ekta Bisht 22 Sushma Verma  34 Sune Luus ( not out 37 ) ki inning ki umdah karkardagi se Supernovas ko 5 wickets se shikast day di thi. Velocity ne Supernovas ko 8 wicket par 126 ke score par rokkk liya aur phir ek gaind baqi rehtay 19.5 over mein 5 wicket par sansani khaiz 129 run banaye lekin Velocity ki team Trailblazers ke khilaaf is karkardagi ko barqarar nahi rakh saki.