Sunday, April 20, 2025
HomeSliderDhoni ne wicket ke pechay Karthik ka Record tod diya

Dhoni ne wicket ke pechay Karthik ka Record tod diya

Abu Dabhi: Kolkata ke khilaaf Chennai Super Kings ke Captain Mahindra Singh Dhoni bhalay hi batting mein kuch nah kar sakay hon lekin ek wicket keeper ki hesiyat se woh is league mein tareekh raqam karne mein kamyaab hogaye hain. Mahindra Singh Dhoni IPL mein sab se ziyada catch pakadney walay wicket keeper ban gaye hain. Indian Premier League Season 13 ke match mein Chennai Super Kings ko Kolkata Knight Riders se 10 runs se shikast ka saamna karna pada lekin Indian Premier League mein Dhoni ne sab se ziyada 104 catch pakdae hain. Kolkata Knight Riders ke khilaaf match mein Mahindra Singh Dhoni ne KKR ke captain Dinesh Karthik ka Record toad diya. Is match se qabal wicket keeper Dinesh Karthik IPL mein sab se ziyada catch pakadney walay wicket keeper thay. Dinesh Karthik ab tak IPL mein wicket ke peechay 103 catch le chuke hain.

Kings Xi Punjab ke khilaaf khailay gaye match mein Dhoni ke paas wicket ke peechay 100 catch pakadney ka karnaama anjaam diya tha. Dhoni aur Karthik wahid aisay khiladi hain jinhon ne ek wicket keeper ki hesiyat se IPL mein 100 se ziyada catch liye hain. Taham Mahindra Singh Dhoni KKR ke khilaaf match mein batting karte hue mukammal tor par nakaam rahay. Dhoni batting ke liye is waqt aaye thay jab team ko 47 gaindon mein kamyabi ke liye 69 runs darkaar thay lekin Dhoni 12 gaindon par sirf 11 run bana kar chaltay banay. Aakhri over mein KKR ki team ne zabardast wapsi ki. KKR ne Chennai ki team ko 20 overs mein 5 wickets ke nuqsaan par 157 runs tak mehdood rakha aur match 10 runs se jeet liya.

Dhoni Batsman ke muzahiron se mayoos

Dhoni Batsman ke muzahiron se mayoos

Captain Mahindra Singh Dhoni ne KKR ke khilaaf match mein 10 runs ki shikast ke baad kaha hai ke un ki team ke batsman ne mayoos kiya hai. Indian Premier League ( IPL ) ke match mein Chennai Super Kings  ke captain Mahindra Singh Dhoni ne Kolkata Knight Riders ( KKR ) ke khilaaf mazboot muaqqaf mein rehne ke bawajood 10 runs ki shikast ke liye batsman ko zimma daar thehraya hai.

Opener Rahul Tripathi ( 81 ) ki shandaar nisf century ki badolat Kolkata Knight Riders ne 167 runs banaye jis ke jawab mein Chennai Super Kings ke Shane Watson ( 50 ) ki nisf century aur Ambati Rayudu ( 30 ) ke sath doosri wicket ke liye un ki 69 runs ki shiraakat ki badolat 5 wicket par sirf 157 runs bana saki. Ek waqt Chennai ki team 10 over mein ek wicket par 90 runs banakar bohat mazboot muaqqaf mein thi.