London: England ke sabiq Cricket Captain Nasir Hussain ne kaha hai ke sabiq Hindustani Captain Mahendra Singh Dhoni mein ab bhi kaafi Cricket baqi hai aur aisay mein un par subukdosh honay ka dabao nahi daalna chahiye. Dhoni guzashta saal England mein huve ICC World Cup ke Semi Final mein New Zealand ke khilaaf shikast ke baad se ab tak maidan se baher hain aur un ki subuk doshi ki qiyaas aarayyoun ne zor pakad liya hai lekin Dhoni un qiyaas aarayyoun par khamosh hain.
Hussain ne Star Sports ke naye Show Cricket mein kaha kay ek martaba Dhoni ne kinara kashi ikhtiyar karli to wo phir wapas nahi ayenge. Sadiiyoun mein aisay khiladi atay hain jin ko poori duniya mein tareef millti hai. Lehaza un par itni jaldi subukdosh honay ka dabao nahi daalna chahiye. Sirf Dhoni hi jantay hain ke un ki zehni haalat kaisi hai lekin aakhir mein Selector ko hi khiladion ka intikhab karna hota hai. Hindustan ke sabiq captanon Sunil Gavaskar aur Kapil Div ka bhi khayaal hai ke maidan se itnay waqt tak baher rehne ke baad Dhoni ki bain ul aqwami Cricket mein wapsi mushkil hai.
Dhoni ke liye wapsi ki umeed IPL ka 13 wahn Season tha lekin Coronavirus ki wajah se IPL 15 April tak multawi hai aur is ka agay shuru hona mushkil hai. Hussain ne kaha ke kya Dhoni ab bhi Hindustan ke liye khailnay ke qabil hain. Ye bohat aam sawal hai. Lekin mein neh jitna Dhoni ko dekha hai, Mujhe yaqeen hai ke un mein kaafi Cricket baqi hai aur wo Hindustani Cricket ke liye abhi bohat kuch kar satke hain. Agarchay Hussain neh tasleem kiya ke Dhoni neh World Cup ke douran kuch mauqa gonwaye they. Unhoun neh kaha ke World Cup ke douran hadaf haasil karte waqt Dhoni neh ek do mauqa gonwaye they lekin Dhoni mein kaafi salahiyat hai aur wo ab bhi Cricket khail satke hain. –YTN STAFF