Friday, May 17, 2024
HomeSliderDhoni Ko Number 7 Par Batting Karwana Faash Ghalti

Dhoni Ko Number 7 Par Batting Karwana Faash Ghalti

Manchester : Hindustani cricket team ke sabiq captain Sourav ganguly aur Hyderabad ke kamyaab tareen batsman VVS Laxman ney Newzealand ke khilaaf Semi final mein team ke sabiq captain MS Dhoni ko batting ke liye satween number par rawana karne ko hikmat-e-amli ki badi ghalti qarar diya hai. Hardik Pandya aur dinesh kartik ko dhoni se pehlay batting ke liye rawana kiya gaya tha jis ki wajah kyunkay hindustani team ek mauqa par 5 runs par ibtidayi 3 wickten aur phir 24 runs par 4 wickten ganwaa chuki thi aur is bohrani sorat e haal se team bahar nikal nahi payi aur usay 18 runs ki shikast bardasht karne ke sath world cup ke bahar hi hona padha.

V V S laxman ney is zimn mein izhar-e-khayal karte hue kaha ke dhoni ko Pandya se pehlay batting ke liye maidan mein utarna chahiye tha kyunkay yahi hikmat e amli ki ghalti ki aur to aur dhoni ko Karthik se bhi pehlay batting ke liye rawana hona chahiye tha kyunkay halaat dhoni ke liye behtar they jaissa ke unhoun ney 2011 ke final mein bhi khud ko batting ki saf bandi mein taraqqi dete hue yuvraj singh se pehlay maidan mein utre the.

Doosri janib ganguly ney dhoni ke batting number ko hikmat e amli ki ghalti ke alawa shikast ki wujohaat mein yeh bhi kaha hai ke dhoni agar pehlay batting ke liye chalay jatay to is se noujawan batsmanon ki hosla afzai bhi hoti thi aur wicket par dhoni ki mojoodgi se woh jarehana khail bhi paish kar saktay they. unhon ney mazeed kaha ke Pant jo kay wicket par jam chuke they aur aisay mauqa par unhoun ney spiner Santner ke khilaaf jarehana hikmat e amli ikhtiyar karne ki koshish mein apni wicket ganwaa di aur is mauqa par Virat kohli team ke coach Ravi Shastri se izhar-e-khyal bhi karte rahay.

Is waqt hindustan ko ek tajurbahcar khiladi ki zaroorat thi. ganguly ney mazeed kaha ke agar dhoni wicket par mojood hotay to pant ko is tarhan ka shot khailnay se roktay they kyunkay muqaabla mein is waqt is tarhan ke shot ki zaroorat nahi thi. ganguly ke mutabiq dhoni ko oopar ke Numberat par batting karne ki zaroorat thi jis se hindustan ko yeh faida ho sakta tha ke taizi se jo wicketon ka zawaal ho raha tha woh tham jata aur aakhri overs mein jab team ko taizi se runs bananay ki zaroorat padtee to phir pant aur Pandya is zimma daari ko bakhoobi nibha satke they jaissa ke ravinder Jadeja ney batting karte hue dekhaya tha.

Dhoni jo khud bhi ek behtareen finisher hai woh bhi aakhri overs mein taizi se runs bana satke they. darin asna Hindustarni sabiq master blaster sachin tendulkar ney bhi aisay hi khayalat ka izhaar kya aur aitraaf kiya ke dhoni ko oopar batting ke liye rawana nah karna ghalti thi.

sachin ke Mutabiq dhoni ko Pandya ke maqam par batting ke liye aana chahiye tha aur woh dinesh Karthik ko number 5 phir bhi batting ke liye rawana kar saktay they. ganguly ney hindustani selectors ko bhi tanqeed ka nishana banatay hue kaha ke saadhay chaar baras ki koshish ke bawajood selectors mazboot middle order tayyar nah kar sakay. Laxman ney bhi middle order ki kamzoree par ittafaq karte hue kaha ke hindustani team hamesha Rohit sharmaa aur virat kohli par inhisaar nahi kar sakti. ganguly ney mustaqbil ke zimn mein izhar-e-khyal karte hue kaha ke Shikhar dhawan ki wapsi ke baad KL Rahul ko number 3 par batting kerwatay hue kohli number 4 par bhi batting kar saktay hain aur Rishabh pant ko panchwin number ke liye mazboot umeed waar banaya ja sakta hai.- YTN STAFF