Wednesday, May 22, 2024
HomeSliderDhoni ko Domestic Cricket khelna chahiye: Gavaskar

Dhoni ko Domestic Cricket khelna chahiye: Gavaskar

New Delhi: Hindustan ke sabiq Cricketer Sunil Gavaskar ne aglay IPL mein khelney ke talluq se Mahendra Singh Dhoni ke bayan ke baad kaha hai ke Dhoni ko 2021 Season se qabal Domestic Season mein khelna chahiye. Un ke paas abhi bhi IPL mein 400 runs bananay ki salahiyat hai. Gavaskar ne Star Sports se baat cheet karte hue kaha ke woh karishmati Cricketer hain. Woh apni batting aur wicket capping se lutaf andoz hotay hain. Wo ek rule model hain. Woh achay Captain hain.

Agar woh Domestic Cricket mein khailtay hain to woh IPL ke aglay Season mein Dhoni 400 runs tak bhi Score kar saktay hain Gavaskar ne mazeed kaha ke Sangakara ne bhi pehlay kaha hai ke Dhoni ko musabiqati cricket khilni chahiye. Agarchay net par practice theek hai lekin is omar mein kisi ko apni karkardagi ko barqarar rakhnay ke liye muqablay mein khailtay rehna chahiye. Kyunkay is omar mein waqt acha nahi hota hai. Aap ne dekha ke sab kuch theek hai lekin bohat tabdeeli aa chuki hai.

Itwaar ko Chennai ka Kings XI Punjab ke khilaaf league ka aakhri match tha. Chennai ne Punjab ko 9 wickets se shikast day di. Chennai pehlay hi Playoff se baher ho chuki hai. Chennai ne mutawatar 3 muqablon mein fatohat haasil ki hain. Dhoni ke Toss ke douran Danny Morrison ne un se poocha ke kiya yeh aap ka IPL mein peelay rang ki jarsi ka aakhri match hai is par Dhoni ne foran jawab diya keh bilkul nahi. BCCI ke sadar Sourav Ganguly pehlay hi keh chuke hain ke Ranji Trophy January se March tak munaqqid hogi. Wazeh rahay ke 15 August ko Dhoni ne bain ul aqwami cricket se subuk doshi ka elaan kardiya tha.