New Delhi: Hindustani team ke sabiq captain aur star wicket keeper MS Dhoni aglay mahinay se shuru honay walay ICC world cup mein team ke liye tadap ka ikka saabit ho saktay hain. 37 sala Dhoni is world cup mein sab se tajurbahkar wicket keeper honge. woh ab tak 3 world cup ( 2007, 2011 aur 2015 ) kheil chuke hain aur chouthay mein khailnay walay hain kyunkay IPL 2019 mein unka Bat kaafi bol raha hai. woh is season mein Chennai Super kings ke liye sab se ziyada runs bananay walay batsman hain. unhon nay rawan season 10 matchon mein 137 ke strike rate aur 104. 66 ke osat se 314 run banachuke hain. woh 17 chokay aur 17 chakkon ke sath teen nisf centuries bhi bana chuke hain .
Dhoni ke is shandaar form ke tanazir mein world cup mein unse kaafi umeeden wabsta hain. maana ja raha hai ke MS Dhoni world cup ke baad cricket se subukdosh ho jaien ge halaank abhi bazabta tor par koi bhi bayan samnay nahi aaya hai lekin jis tarha ki Dhoni ki Shabeeh hai isse unke baarey mein pehlay se kuch bhi sochna aksar ghalat hi saabit hota hai. Dhoni ke liye haal hi mein CSK ke coach nay kaha ke woh legend khiladi aur leader hai, jab aap un jaisay leader ko aisay bahar karte hain to phir kaafi jaghon ko bharna hota hai. unhon nay yeh bayan IPL 2019 mein Sun risers hyderabad ke khilaaf match mein Dhoni ke zakhmi honay ki wajah se bahar honay par kahi thi. Flamming ke is bayan ko T20 world cup ke official page par bhi share kiya gaya hai. is ke baad ICC nay T20 world cup ke Tweet ko Retweet karte hue madahon se poocha ke woh Dhoni ko T20 world cup mein dekhna chahainge. ICC nay likha kiya ke aap 2020 twenty 20 world cup mein MS Dhoni ke Bat se dhamakadaar inning dekhna chahtay hain jis par madahon nay kaafi misbat jawab diya.– YTN STAFF