Friday, May 3, 2024
HomeSliderDhoni ka Central Contract khatam, Career ka bhi anqareeb ekhtataam mumkin

Dhoni ka Central Contract khatam, Career ka bhi anqareeb ekhtataam mumkin

New Delhi: Hindustani cricket team ke sabiq captain Mahendra Singh Dhoni ko aaj BCCI ke Central Contract se kharij kardiya gaya hai jis ke baad un ke bain ul aqwami career par mojood sawalia nishaan mazeed gehra hogaya hai kyunkay Dhoni July mein munaqidah world cup ke baad se Hindustani team ka hissa nahi hai.

BCCI ne aaj naye Central Contract ka elaan kardiya hai jis ki meyaad October 2019 ta September 2020 tak hogi. 38 sala Dhoni Central Contract ke A zumra mein shaamil they aur is zumra ke tehat khiladioun ko salana 5 crore ki fees ada ki jati hai lekin ab Dhoni ko is zumra se bhi kharij kardiya gaya hai.

Darin asna Virat Kohli aur un ke naib Rohit Sharma ke ilawa fast bowler Jasprit Bumrah ko A plus zumra mein Central Contract diya gaya hai jis ke tehat khiladioun ko salana 7 crore rupiye ki fees ada ki jati hai. Dhoni se moahida ki tajdeed nahi ki gayi hai taham ye faisla heran kun nahi kyunkay Dhoni 9 July 2019 ku New Zealand ke khilaaf world cup mein khailay gaye Simi final muqaabla ke baad se hindustani team se bahar hain aur unhoun ne apne mustaqbil ke mansoobah ke mutaliq bhi aagah nahi kiya hai.

Team ke head couch Ravi Shastri ne haliya apne bayan mai kaha tha ke Dhoni anqareeb apne Oneday career ka ekhtataam karen ge. Taham wo IPL mein behtar muzahira karte hue Australia mein munaqqid Sydney twenty 20 world cup ke liye hindustani team ka hissa ban satke hain. Contract mein opener K.L Rahul ko taraqqi di gayi hai jo kay B zumra se A zumra mein shaamil kiye gaye hain. Alawa azeen Test opener Mayank Agarwal ko shandaar karkardagi par pehli martaba Central Contract mein shaamil kiya gaya hai aur wo B zumra mein Hardik Pandya, Yuzvendra Chahal, Aur deegar 2  khiladioun ke sath mojood hain. –YTN STAFF