Saturday, May 18, 2024
HomeLatest NewsDhoni anqareeb subuk doshi ka aelaan karenge

Dhoni anqareeb subuk doshi ka aelaan karenge

Birmingham : Hindustani cricket team ke kamiyaab tareen captain MS Dhoni aindah chand dinon mein apne kamyaab tareen career ka aakhri muqaabla khelinge kyunkay hindustani team rawan world cup mein jo aakhri muqaabla khelegi, wohi shayad MS Dhoni ke career ka bhi aakhri muqaabla hoga.

Hindustani team agar world cup ke final mein rasai haasil karti hai aur 14 July ko woh world cup trophy haasil karne mein kamyaab rehti hai to Dhoni ke career ka yeh shandaar ikheataam hoga. BCCI ke ohdedar ne khabar rasan agency se izhaar-e-khayaal karte hue kaha ke Dhoni ke mutaliq kuch nahi kaha ja sakta hai lekin is ke imkanaat bohat hi kam hain ke world cup ke baad woh hindustani team ki numaindagi karenge.

Yeh bhi haqeeqat hai ke unhoun ne tenu tarz ki cricket ki qiyadat se achanak hi subuk doshi ka faisla kiya tha. moujooda selection committee jo kay rawan baras october tak apni khidmaat anjaam degi, jis ke baad aindah baras Australia mein munaqqid  twenty 20 world cup ke liye hikmat-e-amli ikhtiyar ki jayegi. rawan world cup mein hindustani team chunkay Semi finasl mein rasai haasil kar cuhki hai lehaza tournament ke ahem marhalay par BCCI, Dhoni ki subuk doshi ke hassas masla par tabadlah khayaal nahi karni chahti hain.

Dhoni ne rawan world cup mein 93 se zayed strike rate se 223 runs score kiye hain lekin sabiq master blaster aur baen haath ke opener Sourav Ganguly ne world cup ke douran unki sust raftari batting par tanqeed ki hai. BCCI ohdedar ne mazeed kaha ke dhoni ko koi bhi subukdosh honay ka mahswara nahi day sakta kyunkay woh achi tarhan jantay hain ke inhen kab aur kiya faisla karna hai. –YTN STAFF