Thursday, May 16, 2024
HomeLatest NewsDhoka Bazo Ney Zamzam Ko Bhi Nahi Bakhsha, Ramadan Mein Naqli...

Dhoka Bazo Ney Zamzam Ko Bhi Nahi Bakhsha, Ramadan Mein Naqli Zamzam Ki Farokht

Riyadh:  Saudi Arabia mein ZamZam  mein maang aur istemaal mein izafay ki wajah se naqli ZamZam bhi farokht mein izafah hojata hai aur kuch log sadkon ke kinare milawati aur naqli ZamZam  farokht karte hain aur awam aasani aur sahoolat ki khatir ZamZam  khareedney ke liye plant jaanay ke bajaye sadak par bechnay walon se khareed lete hain. sadak par farokht honay wala ZamZam  milawat shuda hota hai. jaal saaz ZamZam  ke sath aam pani ki milawat karte hain. ghiza aur dawa board ney Twitter par apne Account mein kaha hai ke unki tafteeshi teamon ney guzashta dinon mashriqi ilaqay mein naqli ZamZam  farokht karne walon ko girftar kya hai. yeh dhoka baz milawati ZamZam  farokht kar rahay they. unke qabzay se badi miqdaar mein milawati ZamZam  ke Can baramad kiye gaye. isi tarhan Riyadh , Damam aur deegar shehron mein bhi milawati ZamZam  farokht karne ka karobar urooj par hai. Mecca aur Madinah se door ilaqon mein yeh kaarobar khaas tor par chamak raha hai. iski wajah yeh hai ke Mecca aur Madina se door daraaz ilaqon mein jahan aasani ke sath khalis ZamZam  dastyab nahi hota wahan milawati ZamZam ki farokht ke imkanaat ziyada hotay hain. ZamZam  plant intizamia ney Mecca, Jeddah aur Madina mein ZamZam  ki sarbarahi karne ke idaray qaim kar rakhe hain. yahan afraad khanah ki tadaad ke hisaab se inhen ZamZam  faraham kiya jata hai. Ek afraad khandan mein fee shakhs 2 can liye ja sakte hain. pandrah din baad phir dobarah ZamZam  haasil kya ja sakta hai .

Mecca, Madina aur Jeddah ke rahaishion ke liye ZamZam  ka husool aasaan hai. yahi wajah hai ke un ilaqon mein milawati ZamZam  ke kaarobar ka rivaaj nahi hai. ZamZam  intizamia is baat par zor deti hai ke plant se haasil kiye jaanay walay can zaati istemaal ke liye hon. inhen farokht karna mana hai. asli ZamZam  ek khaas shakal wo soorat ke Can mein sarbarah hota hai jabkay milawati ZamZam  saada can mein dastiyab hota hai. mahe Siyam mein aam musalman ki koshish hoti hai ke iski iftaar khajoor aur ZamZam  se ho. isi wajah se har ghar mein ZamZam  ke can ki zaroorat hoti hai. intizamia ZamZam  ki izafi talabb ko poora karne ke liye ZamZam mein khusoosi iqdamaat karti hai. is ke liye paedawar mein izafah aur duty auqaat mein bhi tabdeeli ki jati hai .  –YTN STAFF